Ayyubi saltanat/Ayyubid Dynasty (1171-1260)
Jaise ke
hamne pichle post me padha ke kaise Sultan Salahuddin Ayyubi Rahmatullah alaih
ne ayyubi sultanat ka aaghaz kiya.Aaj hum janenge ke sultan Salahuddin r.a. ke
bad ayyubi sultanat ke sultan kon the aur unke karname.
Buniyadi malumat:
Majhab-
Islam
Zaban- Arabi,Kurdish
Darul hukumat-
Ciaro(1171-1174), Damascus(1174-1218), ciaro(1218-1250), Aleppo(1250-1260)
Currency- dinar
Al-Aziz usman Ayubi (Born:1171,Died:29nov,1198)
Sultan Salahuddin ayyubi r.a. ki wafat ke baad
Ayyubi Sultanat ke dusre sultan Salahuddin ke dusre bete Al-malik Al-Aziz Usman
ibn Salahuddin yusuf bane.
Al-aziz
Usman 1171 me paida hue 1993 ko walid ki wafat k eke baad Al-Aziz ko sultan ka
taqt nasheen muqarrar kardiya gaya.Unhone 4march 1193 se lekr 29november 1198
tak hukumat ki.
Al-Mansur nasiroddin mohammed Ayubi(Born:1189,Died:1216)
Al-Aziz Ki
wafat ke baad unka mahz 9saala bet Al-Mansur Nasiruddin Mohemmed Ayyubi
Sultanat ke 3re sultan bane.Ye duniya ke kam umer sultano me se ek the.wo 29november
1198 se lekr February 1200 tak 2saal hukumat ki.
Al-Adil 1 ayubi(Born:june,1145,Died:31Aug,1218)
Ayyubi
Sultanat ke 4 Sultan Al-malik Al-Adil Saifuddin abubakar bin ayyub ye Sultan
Salahuddin ke chote bhai the.Sultan Salahuddin ke daure badshahat me Al-Adil
Unke nayab the.Inhone February 1200 se lekr Agust 1218 tak takriban 18 saal se Zayed
Sultan rahe.
Al-Kamil(Born:1177,Died:6Marc,1238)
Al-Kamil Naseruddin
Muhammed ayyubi Sultanat ke 5th sultan the,Inhone 5th Salebi
jung lade Aur shandar fatah hasil ki.Inhone August 1218 se lekr 6march 1238 tak
Sultan rahe.
Al-Adil 2(Born:1221,Died:9Feb,1248)
Al-Kamil ke
marne ke baad inke bete Al-Adil sayfuddin Abubakar Ayyubi Sultanat ke 6th
Sultan bane.Lekin inka Daure badshahat zyada din tik na saka Unhe unka ohde se
hatna pada umhone 1238 se 1240 tak hukumat ki.
As-Salih Ayyub(Born:5Nov,1205,Died:22nov,1949)
Al-Adil2 ke
bad unke bhai aur Al-Kamil ke dusre bete As-Salah Najmoddin Ayyub Ayuubi Sultanat
ke 7th Sultan bane.Ye 1240-22november 1249 tak misr ke sultan rahe.
Al-Ashraf Musa(Born:unkown,Died:unkown)
Ayyubi
Sultanat ke aakhri sultan Al-Ashraf Muzaffaroddin Musa the ye Al-Kaml ke ote
aur Al-Masoud ke bete the.Inhone 1250-1254 tak hukumat ki.
Hamne iss post me dekha ke kasie Sultan Salahuddin Ayubi Rahmatullah alaih ne 1171 me Ayubi sultanat ki buniyad rakhi aur fir ye sultan Al ashraf Musa tak 1260 tak takriban 90 saal tak ek ke baad ek Sulatan ne hukumat ki.
agar humse likhne me kuch Galti hogayi ho to baraye maherbani Maaf kariye aur hamari galti ko comment karke zaroor bataye.
Shukriya!
Mazeed Muslim kings ke bare me janne ke liye hamari website par visit kare!
👌👌👌👌
ReplyDelete👌🏻👌🏻👌🏻👌🏻
ReplyDeletePost a Comment
If you have any doubt, please let me know