Fateh baitul muqaddas Sultan Salahuddin Ayyubi(1138-1193)

Family:
Walid - najimoddin ayub
Ahliya - ismataddin khatun
Children's of Salahuddin ayyubi (Aulad)
- al-aziz,
- al-zahir gazhi,
- al-afdal,
- isaqh,
- mas'ud,
- yaq'ub,
- da’ud.
Ayubi Saltanat ka aagaz:
Nooruddin zengi vo
hukumran the jo bait-ul-muqaddas ko fateh karne ka beda uthaya.Unhone ek member
b banaya unki khwahish thi ke bait-ul-muqaddas ko fateh karne ke baad vo member
apne hathon se bait-ul-muqaddas me lagau par allah ko ye manzur na tha fateh se
pahle hi unki wafat hogayi.Salahuddin ayyubi Nooruddin jungi ki fauj me ek
sipahi the.Misr(egypt) ko jis fauj ne fatah kiya tha us fauj me
Salahuddin ayyubi r.a. bhi shamil the aur is fauj ki Kaman sherkoh k hath me
thi jo ke salahoddin ayyubi ke chacha the.Misr fateh hone ke baad 1164 ko salahoddin ayyubi r.a ki bahaduri aur
tez zahniyat ko dekhte hue unhe miser ka governer banadiya gaya.Nooruddin zengi
ka jab inteqal hua unka koi layak utter Adhikari nahi tha to unhone apni jagah
sultan Salahuddin ayyubi r.a ko bitha diya iss waqt aapki umer sirf 21-22saal
hi thi.
zindagi ke maqasid aur fatuhat:
Sultan Salahuddin ayyubi ne bait-ul-muqaddas ko fatah karna apni zindagi
ka maqsad bana rakha tha aur unke dil v dimag me islam ke liye kuch kar guzarne
ka jazba tha.Salahuddin r.a. bade bahaddur aur fayyaz the.Jungon ke daruan
unhone isaiyon ke sath itna achha suluk kiya ke isai log aaj bhi in ki izzat
karte hain. Salahuddin ka gair muslimon se suluk ain islami talimat ke mutabiq
tha aur ye us ka sabut ye hai ke inki riyast me gair muslim ka haq muslim
ke braber hi tha. Nooruddin zengi ki tarah sultan Salahuddin ayyubi r.a. ki
zindagi bhi badi sadgi pr guzri vo resham ke kapde nahi pahnte the aur mahel ki
jagah mamuli se makan me rahte the.Unho ne apni puri zindagi ek pakke aur
sacche musalman ki tarah sadgi se guzari.Sultan ko jihad ka bahot shouk tha vo
haq ke raste me jihad ke liye hamesha tayyar rahte the.Sultan Salahuddin ayyubi rahmatullah alaih ko 1169 me misr ka
hakim muqarrar kiya gaya,iske baad unhone 1174 me yeman fatah kiya.Fir unhone 1182 tak sham(syria),mosal,halab ko b fatah karke apni
saltanat(Ayyubi saltanat) me mila diya.Ayyubi saltanat me misar(Egypt), sham(syria),yemen,Iraq.hijaz aur diyarbakir shamil the.
Inhone 3badi junge ladi:
1.Jung-e-hattin:
1186 me reynoldes aur uske sath madina munawwara par hamle ke garz se
hijaz muqaddas par hamla aawar hua.Sultan ne ise rokne ke liye hattin me
dushmano ke lashkar par aisa aatish gir madda dalwaya jis se jameen par aag
bhadak uthi.1187 me Yahi se jung ka aagaz hogaya.Iss jung ke natije me 30,000
isai halak hue aur itne hi khaidi banaliye gaye.Aur Reynolds ko giraftar kar
liya gaya.reynolds darasal hazrath mohammed salallahu alaihi wasallam ki shan
me gustaqi kiya karta tha is vajah se sultan ne use apne haton se marne ki
kasam khai thi. Reynold ko giraftar karne ke baad sultan ne khud apne hathon se
uska sir khalam kar diya.
Hattin ki fatah ke baad sultan salahoddin ayyubi ne apna rukh
bait-ul-muqaddas ki or karliya,takhriban 7dino ki khoonrez jung ke baad sultan
ne bait-ul-muqaddas ko fatah karliya. bait-ul-muqaddas pure 88saal ke baad fir
se fatah hua tha.Sultan ne masjide aqsa me dakhil hokr Nooruddin zengi ka
tayyar kiya hua mimber apne hathon se rakha ishi tarah Nooruddin jungi ki
khwahish puri hui. bait-ul-muqaddas par fatah ke sath palestine ki yuroshilam
ki isai hukumat bhi khatm hogayi jo 1099 se palestine me maujud
thi.
3-Tisri salebi jung
Jab bait-ul-muqaddas fatah hua to ye khabar yorup pahuch gayi har taraf
jung ki tayyariyan hone lagi. germany,Italy,France aur England se bade bade
fauji daste palestine rawana hone lagi.England ka raja Richard jo sher dil
k naam se mashhur tha aur farance ka phyliph agustus aur jormony ka Badshah
Frederick Barbarossa apni apni fauje lekr palestine pahuche.inki ittehadi
fauj ki tadad 6lakh thi.Isme sultan salhuddin ayuubi r.a. se11bar muaqble hue
par fatah kisi ki nahi hui is vajah se dono taraf se sulah karke muayedha karna
pada,us
muaheda me
1. bait-ul-muqaddas
musalmano ke pass rahega
2. arsoph,Haifa,yafa aur
akka ke shaher isaiyon ke khabze me chale gaye.
3. Asqalan aazad ilaqa
tasleem kiya gaya.
4. Salebe aazam badastur
musalmano ke pass rahega
wafat:
Jab bait-u 4March 1193 me Sultan Salahuddin Ayyubi Rahmatullah alaih ka inteqal hua inhe sham ke darulhukumat damascus masjid-e-ummayad me dafan kiya gaya hai.
Very nice website for getting good history knowledge.
ReplyDeleteAwesome website👌👌👌👌👍
ReplyDeleteMast
ReplyDeleteMashallah
ReplyDelete👌🏻👌🏻👌🏻👌🏻👌🏻👌🏻
ReplyDeleteSuperb bhai
ReplyDeleteYou are doing a great job
ReplyDeleteThanks for giving us true knowledge about Muslim Kings
ReplyDeletePost a Comment
If you have any doubt, please let me know