Ghaznavi sultanat
Ghaznavi sultanat k parsi turkik mumluk ki Muslim Sultanat thi. Jisnr Iran,Afghanistan tajakistan
aur shumali Hindustan k eek bade hisse par 977 se blekr 1186 tak takriban 200
se Zayed saal hukumat ki. Abu mansur Sabuktagin Ghaznavi sultanat ke
bani the. Vo apne sasur aur Samanid Sultanat ke subhedar Alp tigin ke inteqal
ke bad Unhone Unki jagah par bithaya gaya.
Pchle post me hamne Sultan Mahmud ghaznavi ke bare me baat ki ab iss post me dekhte hain ke kin Sultan ne Ghaznavi Sultanat ko chalaya.
Ghaznavi Sultanat ke Sultan
Sabuktigin:
Abu mansur sabuktigin Ghaznavi sultanat ke bani the. Inhone 20april 977 se kekr 5august 997 tak hukumat ki. Sabuktigin ek turkish work hai jiska mtlb hota hai pyara sultan. Ye 942 ko brshkhan , Kyrgyzstan me paida hue. Inke walid ka naam Qara bajkam tha. Aur inki ahliya jo ke alp tigin ki beti thi unse inhe 5 bachhe the.
Sabuktagin ek Sachhe,nek,diler aur insaf pasand hukumrano me se ek hain. Vo ek sachhe aur pakke musalman the. Unki wafat 5august 997 ko 55 saal ki umer me Balkh afhganistan me hui.
jung:
jung | saal | Ilaqa | Dushman |
Laghman ki pahli jung | 988 | laghman | jaypala |
Laghman ki dusri jung | 991 | laghman | jaypala |
Herat ki jun | 994 | herat | abu ali Simjuri |
Ismail:
Sabuktigin ki wafat ke baad unke bade bete Ismail taqt nasheen hue. Inhone sirf 7month ke liye hukumat ki jab inke chote bhai ne ghazni ki jung jiti to mahmud ko taqt nashin kardiya.
jung | saal | jagah | Muqalifin |
Gazni ki pahli Jung | 998 | Ghazni | Sultan mahmud |
Mahmud:
Hamne Sultan mahmud ghaznvi par puri ek post likhi to aap niche di hui link ke zariye vo post padh sakte hain.
Jung | Saal | Jagah | Muqalifin |
Merv ki jung | 999 | Merv | Abdul malik |
pesghawer ki jung | 1001 | Peshawer | Jaypala |
multan ki jung | 1005-06 | Multan | fateh daood |
balkh ki jung | 1008 | Balkh | Ahmed arsalan |
Ohind ki jung | 1009 | Ohind | Aanandpala |
Indus ki jung | 1027 | Indus nadi | Sikh Raja |
Mohammed:
Sultan mohammed ghaznavi urf jalal-ud-dawla Sultan Mahmud ke chote bete the jo 2 bar sultan bane Uske apne bhai ke jalan aur hasad ki vajah se pahli bar 1030 me sultan mahmud ke wafat ke baad aur dusra 17 january 1040 me apne bade bhai masud ki wafat ke baad.
Masud awwal:
Amire Shahid Sultan masud ghaznavi Sultan Mahmud ke bade bete the inhone 1030 se lekr apni wafat 1040 tak hukumat ki. Inhe sahin-ad-dawla bhi kaha jata hai.
Mawdud:
Shahab-ud-dawla Sultan masud ke bete the. Unhone Sultan mohammed se Sultanat chin kar khud sultan ban gaye. Unhone 1041 se lekr 1048 tak hukumat ki.
Masud duwwam:
Masud duwwam ye Sultan Mawdud ke bete the. vo kuch mahino ke liyre 1048 me taqt nasheen hue.
Ali:
Baha-ud-dawla urf Sultan ali ye Sultan masud Awwal ke bete the. inhone 1048 se 1049 tak hukumat ki.
Abdul Rashid:
Sultan Mahmud Ghaznavi ke pachve bete Abdul Rashid urf izza-ud-dawla hain. Inhone 1049 se 1052 tak hukumat ki.
Toghrul:
Toghrul ek sipah salar the. Jab ghaznavi Sultan ko kamzor dekh kar Abdul rashi ke sath aur 11 shazadon ka khatale aam kar ke khud taqat par baith gaya. Isne kul 40din tak hi hukumat ki iske baad Fharukh zad aur inke sipahiyon ne ise qatal kardiya.
Farrukh-zad:
Sultan Farrukhzad Sultan Masud Awwal ke bete the. Inka daure hukumat Ghaznavi Sultanat ke liye Falah v bahbud, khushhali aur Sukoon samjha jata tha. Inhone 1053 se 4april 1059 tak hukumat ki.
Ibrahim:
Farrukzad ke inteqal ke baad unkechote bhai Ibrahim taqt nasheen hue. Sultan Ibrahim ne 1033 se 1099 tak Hukumat ki.
Masud Suwwam:
Sultan Ibrahim ke wafat ke baad unke bete Sultan Masud taqat nasheen hue unhone 1099 se 1115 tak hukumat ki.
Shirzad:
Sultan Masud Suwwam ki wafat ke baad unka beta shirzad taqt nasheen hua. Inhone 1115 se 1116 tak sirf ek saal hukumat ki iske baad inke bhai ne unhe khatal kardiya.
Arsalan shah:
Apne bhai ko khatal karne ke baad Arsalan shah taqt nasheen hua. inhone 1116 se 1117 tak hukumat ki. lekin inhone ne apne bhai ko to khatal kar diya par inka dusra bhai inpr hawi ho baitha jise saljuk sultanat ki madad hasil thi.
Bahram Shah:
1117 me Arsalan shah aur Bahram shah ke bichme ghazni me ek jung hui jisme arslan shah ko karari shikast hasil hui. Uske baad ghaznavi sultanat ka agla sultan Bahram shah bana. Inhone 1117 se 1152 tak hukumat ki.
Khusrau Shah:
Bahram shah ki wafat ke baad unka beta khusru shah taqt nasheen hue.Inhone 1157 se 1160 tak hukumat ki.
Khusru Malik:
Khusru shah ke baad unka beta khusru malik taqt nasheen hue. Unhone 1160 se 1186 tak hukumat ki. Aur khusru malik Ghaznavi sultanat ke aakhri sultan the.
Sultanat ka khatma:
Tariq ke mutabiq Bahram shah jisne sultanat se gaddari karke Saljugi sultanat ki madad se Sultan bana tha. Isi gaddari ki vajah se Ghaznavi sultana ka khatma hua.
tariq iss baat ki gawah hai,
Jab jab bhi kisi Sultanat ka khatma hua hai uske kuch vajah jhoot, makkari, gaddari, aur zulm hi hai.
Allah Ham sabko jhoot bolne aur Gaddari se bachaye aur hame nek banaye. Allah ham sabko haq par chalne ki taufeeq de.
Aameen ya rabbul aalamin.
Refrence:
Bosworth, C. Edmund (2001). "GHAZNAVIDS". Encyclopaedia Iranica, Vol. X,
👌🏻👌🏻👌🏻👌🏻
ReplyDeleteYe sab se hame ye sikh milte hai koi bhi saltanat me gaddar apne hi hote hai aur apas me jhagde fasad buqz rakhkar kisi ka bhala nai hota , milkar rahenge ek dusre ka sahara bankar rahege to kabhi sultanat ka khatama nahi honga
ReplyDeleteSahi kaha bhai
Delete👌👌👌
ReplyDeleteGr8 work bro
ReplyDeleteAllah aapko jannat de
ReplyDelete👌👌👌👌
ReplyDelete👌👌👌👌
ReplyDeleteEk number bro
ReplyDeletePost a Comment
If you have any doubt, please let me know