Mughal Badshah Nooruddin Jahangir
Nooruddin
Jahangir ka Paidishi Naam Shazada Nooruddin Muhammad Saleem tha. Uski paidaish
31 august 1569 ko Utter pardesh ke Fatah pur Sikri me hui. Vo akbere Aazam Shahenshah Jalaluddin Muhammad Akber Ka Bada beta aur wali ahed tha. Uski walid
ka naam Mariyamu Zamani (Jodha bai) tha.
Biwiyan (Wife of Jahangir)
- Malika Jahan
- Shah Begum
- Karamsi
- Khas Mahel Begum
- Nurunnisa Begum
- Jagat Gosain
- Malika Noorjahan
- Saheb jamal Begum
- Bhawti Bai
- Saleha Bano
Aulad (Children's
of Jahangir)
- Badshah Shahjahan
- Shzhzada Jahandar mirza
- Shahzada Khusrau Mirza
- Shahezada Shahriyar mirza
- Shahzada parvez Mirza
- Sultanu-Nissa
- Daulatu_Nissa
- Begum Sultan
- Ifat Bano
Taqat nashhen:
27 october 1605
Ko Akbar ki wafat hui. Uske wafat ke 8 din ke baad 3november 1605 ko Nooruddin Saleem
Jahangir ke laqab ke sath taqt nasheen hua Jab iski umar 36 saal thi. Jahangir
ke Taqat nasheen hone ke baad uska beta Khusrau malik Baghawat par uter aaya.
Khusrau malik ka dawa tha ke Akber ke baad vahi taqt ke kabhil hai. Par taqt
par Apne walid ko baitha dekh vo baghawat par uter aaya.
Khusaru
Mirza aur Jahangir ke bich ki ladai taqriban 1saal chalti rahi. Iss ladai ke
natije me Khusrau malik ko dardnak shikast hasil hui. Ise aagra ke Qile me
khaid kardiya gaya fir usko saza taur par Aankhon me salkhen dalne ka hukum
jari kiya. Ye kaam ke liye Jahangir ne Apne chote bete Shah jahan ko aayad
kiya.
Akber ke tayyar kirda Deene Ilahi par pabandi:
Badshah
banne se pahle usne Mujaddide alif sani Rahmatullah alaih ko jail me dal diya
tha kyuke vo majhabe Islam ko Sultanat me firse Aayad karne ki Koshish kar rahe
the. Jail me dalne ko baad Nooruddin Jahangir Shadid bimar pad gaya. Puri
sultanat me koi tabib aur hakeem uska ilaj na kar saka. Fir uske sipah salar ne
Usse salah ki ke aap Mujaddide Alif Sani Rahmatullah alaih ko chod de aur unki
dua lens hayed aap unki dua se thik hojayen.
Nooruddin
Jahangir ne unhe jail se riha kar diya. Unhone use islam ki dawat di kyu ke vo abtak
apne baap ke tayyar kirda Deene Ilahi ko manta tha. Usne Islam ko apna liya. Uske
baad unse wada bhi kiya ke mere Sultan bante hi mai Islami Qwaneen Sultanat par
aayed karunga. Jiske baad Sultan bante hi 1606 me Nooruddin Jahangir ne Deene
Ilahi ko ban kar ke usska mukammal taur par khatema kardiya.
Hamari digar post bhi dekhe:
Fatuhat:
1614 ko
Mewad ke raja Amar singh ne Jahangir ke khilaf baghawat kardi jiske baad Nooruddin
Jahangir Ne apne bete Shahjahan ko Mewad bheja. Jisme Shahjahan ko fatah hasil
hui.
1620 me kangadha
par khud Nooruddin Jahangir ne Hamla kiya aur shandar fatah hasil ki.
1622 me
Ahmed nagar, Bijapur, aur Golconda (Hydrabad) ke Hakim ikhatta hokr Mughal
Sultanat ke Badshah Nooruddin Jahangir ke khilaf jung ke liye uth pade. Jahangir
ne apne bete Shahzade Khurram Shahjahan ko Unke khilaf jung ke liye bhej diya. Shajahan
ne Ahmed nagar, Bijapur aur Golconda ki fauj se dat kar muqabla kiya. Iss jung
me shandar fatah hasil ki.
1623 me shahjahan
ne Nooruddin Jahangir yani apne walid se baghawat kardi. Jiski vajah ye thi ke Nooruddin
Jahangir ki chahti aur sabse pasandida biwi Noorjahan ko beta nahi tha. Iski
beti ka shoher uska damad Shahriyar ko Taqat ka waris banan chahti thi. Jiski
vajah se ye Shahjahan ko gawara na hua aur vo baghawat par uter aaya.
Jahangir ke Sipah Salar ki Baghawat:
Mughal Fauj ka sipah salar Muhabat khan ne
shahjahan ka pura sath diya. Jiski vajah se Nooruddin Jahangir ne ise darbar me
bulakr iski beizzati ki ye beizzati na bardasht kar saka. Lekin 1625 me Nooruddin
Jahangir ne apne bete shahjahan se sulah kar li. Lekin muhabat khan apni chalon
se baaz na aaya Ek dafah Nooruddin Jahangir Kashmir ja raha tha.
Kashmir jane
ke waqt muhabat khan ne Nooruddin Jahangir par hamla kardiya. Jiske natije me Nooruddin
Jahangir ko hawalat me khaid kar liya gaya. Baad me nurjahan aur uske bhai Aasif
jah ki madad se Mughal fauj me fhut daldi aur kuch logon ko apne taraf mil
aliya. Jiski vajah muhabat khan tanha rah gaya. Aur vo jaise taise bachta
bachata farar hone me kamyab hua. Aur Nooruddin Jahangir firse aazad hogaya.
Wafat (Death Of Jahangir):
Muhabat
khan ki qaid se riahi ke baad Nooruddin Jahangir Kashmir aur Kabul me saher
khadmi ke liye jaya karta. Kyu ke qaid me rahne ki vajah se uski tabiyat nasaz
rahne lagi thi. Kashmir me tha to usne lahor jan e ka irada kiya.
1627 me Bhimber
ke muqam sadabad me safar ke dauran tabiyat bahot nasaz hogayi jiske baad Nooruddin
Jahangir ka wahi usi jagah uski wafat hogayi. Iski mayyat ko lahor laya gaya lahor
me use daraye ravi ke pass dilaksha bagh dafnaya gaya.
Maqbara Jahangir (Jahangirs Tomb)
Jahangir ka
maqbara aaj bhi lahor, Pakistan me waqay hai. Jisko tameer karwana Malika noor
jahan ne shuru kiya tha. Aur Shah jahan ne iski tameer mukammal ki. Jahangir ka
maqbara Pakistan me sabse khubsurat imarat me se ek hai.
Haqayeq (Facts about Jahangir):
- Isne taqt par baithte ke sath hi Deene Ilahi ko hata kar islam khabukl kar liya tha.
- Isne apne walid Akber ke Naak, kaan, hath aur pair katne wali sazao par pabandi lagadi.
- Sharab aur dusre nasha aawar chizon par pabandi lagadi.
- Kayi Haram Mahsulat (tax) hatadiye.
- Nooruddin Jahangir ne total 20 shadiya kiya. Uske dono bhai Pahle hi sharab noshi ke vajah se faut hogaye the.
Very nice post👌👍👍...you are doing a great job...keep it up👍
ReplyDeleteNice bhai❣️👌🏻👌🏻
ReplyDeleteVery informative and interesting topic well done 👍👌🏻
ReplyDeleteNice bhai👌
ReplyDeleteNice 💯
ReplyDeletePost a Comment
If you have any doubt, please let me know