Mughal Badshah ShahJahan
![]() |
Mughal Badshah Shahabuddin Muhammad Khurram Shahjahan |
Shahjahan
ka Paidaishi Naam Shahabuddin Muhammad Khurram tha. Shahjahan Hindustan ke
Mughal sultant ka 5wa Badshah tha. To aaj ki iss post me hum Shahjahan ke bare
me baat karenge, Uski zindagi par tawajjo karte hue hum uski tariq aur
Shaksiyat ke bare me aaj Tafsil me Malumat hasil karenge.
Shahjahan
ki paidaish 5 january,1592 ko Mughal Sultant ke Lahore me hui (Jo aaj Pakistan me
waqay hai). Uske walid ka naam Nooruddin Muhammed Salim Jahangir tha aur walida
ka naam Jagat Gosain tha jise bilqis makani ka laqab hasil tha.
Iska naam
Iske Dada Jalaluddin Muhammed Akber ne Khurram rakha tha. Ye Jahangir ka tisra beta
tha. Shahjahan ke paidaish ke baad Akber se iski parwarish ke liye Ruqiya begum
(Jo akber ki badi biwi thi use aulad nahi thi Iski khwahish puri karne ke liye
akber ne ye hukum diya) ke pass bheja.
Shahjahan ki biwiyan (Wifes of Shahjahan)
- Mumtaz Mahal
- Kandhari Begum
- Izza ulnissa Begum
- Fatehpuri Mahal
- Sirhindi Mahal
Aulad (Children’s of Shahjahan)
- AurangzebAalamgir Rahmatullah Alaih
- Murad Baksh
- Gohar Begum
- Parheez Begum
- Roshan Begum
- Shah Shuja
- Jahan begum
- Dara Sukoh
Ibtedai Zindagi:
Shahjahan
ne Bahot kam Umri me taleem hasil karna shuru kar diya tha. Jab isne taleem
hasil lkarna shuru kity jab iski umer 4saal 4mahine thi. Bachpan se hi ise Shayeri aur mausiqi ka bahot shouk tha. Chauda Saal
ki umer tak usnea chi taleem ke sath sath Ghud sawari aur teer andazi me
maharat hasil ki.
Aap ne
pichle post me padha ke Jahangir ka bada beta aur Shahjahan ka bade bhai ne Jahangir
ke khilaf bagahawat kardi thi. Uski saza ke taur par Shahjahan ne uske aankhon
me salakh dal kar uski aankhon ko halak kar diya.
Uske baad
1607 me Shahjahan ko Ujjain ki subhedari di gayi jiski vajah se hisara feroza
ke ilaqe par ab Shahjahan ki hukumat hogayi.
![]() |
Mumtaz Mahel Shahjahan |
Taqt nasheen aur kiye gaye kaam:
28 October,
1627 ko Nooruddin Jahangir ki wafat hui. Uss waqt Shahjahan junnair ke muqam
par tha. Iske baad Abulhasan ne Khusru mirza ke bete ko taqt par bithaya jiska
naam Dawar baksh tha. Ye dekh kar Sultanat ke dusre shahzade bhi uth khade hue
WSultanat hasil karne ke liye. Aapsi jhagdon ke bich shahjahan 30 december 1627
ko Mughaliya Sultanat ka panchvan Badshah ban kar taqt nasheen hua.
Shahjahan
Pahla aisa Badshah tha jisne apni hukmrani ka aadha hissa Sultanat aur taqt se
dur rahkr jaddo jahed me guzar diya.
1628 me
Usne jhajae singh ki baghawaton ko dabane ki garz se Gawaliar gaya. Waha Jhajar
singh se sulah hui.
1632 me Daulatabad
(near Aurangabad) ka Qila Fatah kiya jise aaj hum sab Deiogiri ka qila kahte
hain.
1635 me
bijapur ko fathah karke Apni sultanat me shamil kar liya.
1636 me
Golconda (Hyderabad) ko apne Sultanat me shamil kar liya.
1636 me hi
Ahmed Nagar ki Sultanat khatam hogayi thi. Fir Uske baad Shahjahan ke bete
Shahzade Auranzeb ne Bijapur aur Golconda ke Qutub shahi Sultanat par dabao
dalna shuru kardiya. Jiske baraks unke pass sirf do raste bache the ek to sulah
ya fir dusra jung. 1636 me unse sulah kamyab hui jiski vajah se shah juahan ko
Daccan me Sultanat phailane ka mauka mil gaya.
Iske baad
bhi vo apna Jitna waqt hai baghawaton ko kuchalne aur safar karne me hi guzara
karta. Jab tak vo sultan raha isi tarah se uske zindagi ka hisbe mamul raha.
Beton me Darar:
1638 me Mughal
Sultanat ka darul hukumat Shahajanabad jo aaj Hindustan me purani delhi hai use
banaya gaya. Is ka naam Shahjahan ke naam par rakha gaya tha kyu ke ye shaher
ko Shahjahan ne hi aabad kiya tha. Delhi me usne apne liye ek azeemo shan taq
banaya jise aaj taqte taush bhi kaha jata hai. Isne taqte taush ko apne mahel
Lal khila me rakha.
Shahjahan
ne apna wali ahed Apne badev aur chahite bete darulshiko ko banaya. Murad mirza
ko Gujrat ka hakim ban diya, Aurangzeb Aalamgir ko Daccan ka aur Shah Shijah ko
Bangal ka hakim banadiya.
Lekin Darul
shikoh ek begairat insan tha vo mazhabi mamlat ko nahi samjh sakta tha. Vo
tamam mazhab ko ek hi manta tha jiski vajah se darbar me usko bahot se log nahi
mante the. Waisa dekha jaye to uske 3 bete aise hi the lekin Aurangzeb
Rahmatullah alaih sirf Muslim aur Sunnate Nabvi ko manne wale shaks the.
Iss vajah
se shazada darul shikoh ka aisa bartao unhe nagawara sabit hua Aur apne walid
ke use wali ahed banana par Aurangzeb bahot gussa hue. Unhone apne bhai murad
mirza ko lalach dekr apne sath kar liya. Isi tarah dono bhaiyyon ke fauj ne
Chumble (Madhypradesh, Hindustan) ke muqam par Darulshikoh ki fauj ko dardnak
shikast di. Is hamle ke baad darulshikoh lahor farar hogaya.
Shahjahan ko Taqt se hataya gaya:
Aurangzeb
ne 31july 1658 ko Shahjahan ko taqt se hatane ke baad taqt nasheen hue. Aur Shahjahan
ko unhone apne mahel aagra me nazar band karva diya. Lekin dil me bina shikwa
rakhe unhone kafi zyada apne walid Shahjahan ki qidmat ke liye mulazim lagaye. Shahjahan
ke digar do bete bhi Aurgzeb Ke haton khatal hogaye.
Shahjahan ab
budha hochuka tha aur iske sath hi iske sochne ki taqat bhi kam hogayi jiski
vajah se Aurangzeb Alamgir ne inhe Mahel me hi rahne ka hukum diya.
Wafat:
jan 1666 me
Shahjahan ki tabiyat bahot nasaz hui. Iske ilaj ke liye Aurangzeb ne unan se
tabib mangwaye lekin ilaj na ho ska. Is tarah 22jan 1666 ko Shahjahan ki wafat
ho gayi. Ise Tajmahel me dafan karaya gaya.
Facts about Shahjahan:
- Shahjahan Jahangir ka 3ra beta tha.
- Shahjahan apne ek hi biwi se zyada mohabbat karta tha jiska naam Mumtaz Mahel tha.
- Shahjahan ne Mumtaz mahel ke alawa kisi aur biwi se bachhe paida nahi kiye.
- Shahjahan ko Mumtaz mahel se 14 bachhe the.
- Mumtaz mahel ki wafat ki vajah 14ve bachhe ki paidaish hai.
- Shahjahan ko uss waqt ka Engineer Badshah kahte hain jisne kayi imarata tameer karaye.
Tameerat (Constructions):
Tajmahal:
Tajmahel ek
Sangemarmar se bani hui ajeemo shan manzil hai. Jise Shahjahan ne apni chahti
biwi Mumtaz mahel ki yaad me banavaya tha. Ye aaj bhi Hindustan ke Utterpradesh
ke AAgra me maujud hai. Iski tameer 1627me shuru hui aur taqriban 22 saal ke
baad 1659 me iski tameer mukammal hui.
Delhi ka Lal qila:
Shahjahan ke
daur me delhi ka naam Shahjahanabad tha. Yaha qayam pazir hone ke baad 1639 me
laal qila tameer karwana shuru kiya aur ye tameer 1638 tak chalti rahi.
Naulakha:
Naulakha Shahjahan
ka tayyar kirda ek karma hai jo lahor ke qile k eek hisse me waqay hai. Tameer
ka aagaz 1631 me hua aur mukammal 1633 me.
Lahor ki Moti Masjid:
Waise ye
masji Jahangir ne banayi thi lekin Isko firse tameer Shahjahan ne karvaya.
Jisne ise aalishan banaya isme moti aur sanhgemarmar se kam karaye.
Shalamar Gardens:
Shalimar
Bagh Aaj lahor me maujud hai. Iski Tameer Shahjahan ne 1641-1642 me karai.
Delhi ki Jama Masjid:
Delhi ki
Mashur Shahi Jama masjid ki Tameer bhi Shahjahan ne hi 1650-1656 ke bich me karvayi
thi. Jo ke aaj Hindustan ke sabse badi masjidon me shumar hai.
Agar mere hath se kuch Spellin mistake ya dusri koi Galti hogayi hai to uske liye maaf chahta hun,. Aur meri jo bhi Galti hui hai use Comment karke zaroor btaye
Excellent work bhai👌🏻👌🏻👌🏻
ReplyDeleteNice 💯🔥
ReplyDeleteEnjoyed reading the article above , really explains everything in detail. Thank you and good luck for the upcoming articles👍👍👍
ReplyDeleteBased on true story like it.
ReplyDelete👌🏻👌🏻👌🏻👌🏻
ReplyDeletePost a Comment
If you have any doubt, please let me know