Sher shah suri
Tariq me
wahi hukumran yaad rahte hain jo insaf pasand ho aur apne riyaya ke falah va
bhbud ke liye kam kare. Apna rasta haq ke janib chune aur Hamesha apni sachhai
aur ijmandari se logon ke dilon me jagaha bana kar ke hukumat kare. Doston to
aaj hum baat karne wale hain Sher shah suri ke bare me jinki Hukumrani
ka waqt to bahot kam the lekin kaha ye jata hai ke puri Mughal sultanat ki
hukumrani tarazu k eek phalde me rakhe aur dusre phldi me inki 5saala hukumat
to baraber hoga.
Ibtedai Zindagi:
Sher shah
suri ka paidaishi naam Farid Khan lodhi the jo Suri Sultanat ke bani
the. Unki paidaish 1486 me Sasaram (bihar,hindustan) me hui. Inke walid ka naam
Hassan khan suri tha. Inka taluq afghani khabile sur se tha. Sultan Sher shah
suri par kuch log ilzam lagate hain ke unhone mughalon ko dhoka dekr khud
Badshah ban gaye to aisi tariq ki aaj hum puri sachhai bayan karenge.
1451 me
Hindustan par lodhi khandan ki hukumat thi. Lodhi jo ke afghani the unhe dekhte
hue afghan ke digar tamam qabile bhi Hindustan aa pahunche inme sur qabila bhi
maujud tha. Sultan Sher shah suri ke Walid ko bihark e ilakhe ke Sasaram ki
jagiradari hasil thi. Sultan Sher shah suri apne walid ke 8ve bete the. Apni
sagi walida ke inteqal me unki sauteli maa ki nafrat se bebas hokr unhone apna
ghar chod diya.
Nawab ke ghar Mulazimat:
Ghar chodne
ke baad juanpur ke nawab ke waha naukri karne lage. Juanpur me rahte rahte
unhone apni taleemat aur jungi taleemat bhi hasil karliye. Yaha bhi unhe ek
bechaini mahsus hone lagi to yaha se bhi vo chalagaye unke baad unhone bihar ke
nawab khan lohani ke waha mulazimat karne lage.
Sher Shah Ka Laqab:
Ek dafah
nawab khan lohani kuch kaam se baher gaye sath me sher shah suri bhi the to
unpr sher ne hamla kar diya. Fir Sher shah suri ne akele sher par hamla karte
hue sher ko apne haton se mardiya. Iss tarah ek kam umer ladke ke bahaduri ko
dekhte hue nawab khan Lohani ne unher Sher Shah ka laqab diya.Aur unhone
Sher shah Suri ko apne chand wafadar sathiyon ke fauj me bhi shamil kar liya.
Mughal Fauj me Shamil:
Jab
mughalon ne Hindustan par hamla karke lodhi Sultanat ke khatma kardiya tab Sher
shah suri mughalon ke jungi salahiyat aur jung karne ke tarike se bahot khus
hue aure unhone Baber ki fauj me khudko shamil karne ka socha aur hua bhi waisa
hi vo baber ki fauji daste me shamil hogaye. Inki Jungi salahiyat aur inki umda
sipah giri dekhte hue Shahenshah baber ne inhe sasaram ka subhedar bana diya.
Mughal se Dushmani:
Ek martaba
Shahinshah baber aur Sultan Sher shah suri ek sath khana nosh farma rahe the to
Sher shah suri ne baber ke samne se ek Gosht ka tukda uthaya aur khane lage.
Baber ko ye baat gawara na guzri kyuke baber ne abhi khana khane ki ijazat nahi
di thi to baber ko us baat ka bura laga. Fir usi waqt se baber aur sher shah
suri ke bich halat bigadne lage. Halat bigadne ki vajah se sher shah suri wapas
bihar.
Bihar ki Hukumrani:
Bihar me ab
nawab khan lohani ka inteqal ho chuka tha unki jagah ab unka beta Shahzada
jamal ab nawab ban chuka tha. Lekin vo na ahel aur nakara hukumran sabit hua.
Jiski vajah se sher shah suri ko apne khadam aage badhate hue Jamal khan ko
kursi se hata diya aur khud taqt nasheen hogaye. Isko dekh kar bangal ke nawab
mahmud shah ne unpar hamla kardiya. Sultan Sher shah suri aur nawab mahmud shah
ke darmiyan ek jung hui aur Sultan Sher shah suri ko fatah hasil hui. Sher shah
suri ki fauj me musalsil izafa ho raha tha.
Humayun aur sher shah suri ki Pahli Jung:
Jab Sher
shah suri ki jungi salahiyat ki khabar Jab Mughal badshah Humayun tak pahuchi
to Vo Sher shah suri se jung karne ke liye aa pahucha. Sher shah suri au
Humayun ke bich karari jung hui. Humayun ko laga ke vo badi fauj lekr aayega
aur Sher shah suri ko hara dega par aisa nahi hua. Humayun bhi Sher shah suri
ki jungi salahiyat ke samne tik na saka aur usne Sher shah suri se sulayh
kardi.
Humayun aur sher shah suri ki Dusri Jung:
Iss jung ke
baad Sher shah suri ne apni badshahat ka elan kardiya aur Sultan ul aadil ka
laqab apne naam kar liya. 1540 me Mughal badshah Humayun ne dobara Sher shah
suri par hamla kiya. Ise khaufnak shikast hasil hui Humayun jaise taise apni
jaan bachakr bhagaya. Sher shah suri ke iss fatah ke baad Hindustan ka pura
junubi hissa sher shah suri ki zere qyadat aagaya.
Badshahat:
Awwam ke fala vo bahbud ke liye kam:
17 may 1540 ko Sher shah suri ne Delhi sultanat par baithne ke baad awwam ke falah bahbud ke liye bahot se kam kiye Aaj se 500 saal pahle kiye gaye unke kuch karname aaj bhi aam zindagi me istemal kiye jate hain. Hindustan ki currency aaj jise Indian rupiya kaha jata hai uski ejad bhi Sher shah suri ne hi ki thi. Unhone tajiron ke liye bhi bahot se kam kiye jaise ke unke kar ki khimat me kami ki unhe safar kare ke liye raste banvaye aur bahot kuch.
Sher shah
suri ne kisano par khas tawajjo dete hue unhe kam karne ke muktalif auzar ki
farahmi ki unhe saste damo me bij muhiyya kiye aur unke lagan ki khimton me bhi
kami ki. Kisano ko aisi sahuliyat pahle kisi Badshah ne faraham nahi ki thi.
Sher shah suri ke aise karnamo ki vajah se unke sultanat ki awwam ko kabhi kisi
chiz ki mushkilat ka samna nahi karna pada.
mukhtalif karname:
Inke karname me ek sharaye aazam (journaly road) jise aaj grant road bhi kaha jata hai vo banaye. Ye road aaj bhi Bangladesh se Kabul,Afghanistan tak maujud hai.Sher shah suri uss waqt dak pahunchane ke liye bhi kam kiye. Unhone har gaon shaher me dak pahuchane ke liye bahot se kam kiye jo ye pahle kabhi nahi tha lekin hum sab aaj bhi dekhte hain ke Dak se bahot se kam hamare liye Aasan hojate hain. Bihar me aapne Patna shaher ka naam to suna hi hoga Uska bhi naam Sher Shah Suri ne hi rakhe the.
Sher Shah suri nek ibadat guzar badshah the.inhone apni sultanat me adalo isaf khayem karne ke liye bhi bahot se kam kiye. Inhone aisa nizam khayem kiya ke sultanat me koi bhi kuch jurm karne ke pahle 10bqar sochta. Chalo Sher shah suri ke insaf ki baat aaye aur mai aapko unka mashhur waqia sunata hun.
Apni Bahu ko barhana karne ka hukum diye:
Ek martaba
Sher shah suri ka beta aadil shah Aagra ki gali me hathi par baithe fir raha
tha. Achanak uski nazar ek Mahajan ke ghar par padi to usne dekha ke uski biwi
naha rahi thi usne wahi hathi rok kar uss aurat ko dekhne laga. Usne usko
dekhte hue paan ka beda uthaya aur uss aurat ko phek kar mara. Uss aurat ko iss
bat ka itna bura laga ke usne khudkhushi karne ki sochi par uske shoher Mahajan
ne use rok liya aur kaha mai ye muqaddama klekr Badshah ke pass jaunga.
Sher shah
suri ke samne Mahajan aaya aur usne ye tamam waqiya sher shah suri ko bataya.
To Sher shah suri ne hukum diya ke Mahajan ko aadil shah keg har par lejao aur
aadil shah ki biwi ke kapde utar kar Mahajan ke samne kao aur Mahajan wahiu
karega jo unke bete ne kiya tha. Sher shah suri ka ye faisla sunkr pure darbari
pareshan hogaye kyuke ye vo saza apne bete aur bahu ko dene wale the.
Kuch log
unse gujarish karne lag eke shahenshah vo aapka beta hai par unhone ne ek na
suni aur apne faisle par ttike rahe. Fir Mahajan ne kaha huzur mere se aisa
gunah mat karaiye mai apna muqaddama wapas leta hun. Sher shah suri ke iss
faisle ke sultanat me kisi ne aisa kuch karne ki socha bhi nahi. Aur unhone
Aurton ki izzat karne ka bhi hukum jari kiya agar koi shaks aurat ki izzat nahi
karta to uske biwi ki izzat se hath dho baithega iss dar se Sultanat me koi bhi
aurton ke mamle me gunah hona band hogaye.
Shahenshah Jalaloddin akber Sultanat ka intezam chalane ke liye Badshah Sher shah suri ke banaye hue nizamat ko istemal kiya karta tha. Tariqdan Sher shah suri ko hindustan ki Islami tariq ka azeem rahnuma, fateh aur Musallih mante the. Urdu adab me sher shah suri ke kayi waqiyat aur khisse milte hain.
Wafat (sher shah suri death):
22may 1545 ko Unke mahel kalanjer khile me ek dhamake ki
vajah se aag lag gayi. Jiski vajah se sher shah suri ki wafat hui. Unka maqbara (Tomb of Sher shah suri) Sasaram, Bihar, Hindustan me waqay hai.
Qila ruhtas:
Qila ruhtas Hindustan ke qilon me se ek bada qila hai jo hame
Sher Shah Suri Ki yaad dilate hai. Inhone 1541 turmal Khatri aur shahu Sultani
ko Qila tamir karne ka hukum diya. In dono iski tamer 1548 me mukammil hui. Ye qila aaj bhi Pakistan ke din,
Jehlam district punjab Pakistan me waqay hai.
Shukriya!
Ummid hai aap sabko aajka ye artical pasand aaya hoga agar isme mujhse kuch glti hojaye to comment karke batade. In sha allah mai meri glti sudharunga.
Nicely done
ReplyDelete👌👌
ReplyDeleteVery informative , well done 👏
ReplyDeleteVery informative , well done
ReplyDelete👌👌👌👌👌👌
ReplyDeletePost a Comment
If you have any doubt, please let me know