Naseeroddin Muhammad
Humayun♔
Aaj ke Iss
post me hum baat karenge Humayun ke bare me jo Mughal Sultanat ke bani
Babur ka beta aur Mughal Sultanat ka dusra sultan tha. Hum aaj uske jungon ke
bare me aur badshahat me uska Kirdar kaisa tha uss silsile me hum aaj baat
karenge.
Humayun ki Ibtedai Zindagi (Humayun's Early Life):
Naseeruddin Muhammad Humayun ki Paidaish 17march 1508 ko Kabul, Afghanistan me hui. Iske walid ka naam Zaheeruddin Muhammad Babur the aur iski walida ka naam Mahim Begum tha. Humayun ne apne bachpan me hi urdu, Arabic, Farsi aur tukish zabane sikh li thi. Isne isi zabaon me aala talim hasil ki hui thi.
Humayun ne
bahot kam umri me fanune sipah giri me aala tarbiyat hasil ki. Jiski vajah se
mahez 20 saal ki umar me unhe Badakshan (Badakshan ek tariqa ilaqa hai jo jiska
kuch hissa afghanista, Tajakistan aur china me shamil hai).
Humayun ke zauja (Humayun’s wifes):
Aulad (Humayun chidrens):
Bakhtun Nisa Begum
Bakhshi Bano Begum
Mirza Mohammed Hakim
Al Aman Mirza
Taqt nashini:
Zaheeruddin
Muhammad babur ki wafat ke baad Babur ki Wasiyat ke mutabiq Naseeruddin
Muhammad Humayun ko 29 december 1530 ko Taqt par bithaya gaya. Iss waqt logon
me sone se bhari kashtiyan taqsim karai gayi.
Aur apne bhaiyyon
ko ke bich Hukumat ko Taqsim kardiya. Kamran mirza ko Kabul aur Qandhar ka
hakim banaya uske baad Handal ko mewat ka hakim aur askari ko Simbhal ka hakim
banadiya. Iss tarah Humayun ne Apni sultanat ka batwara apne 4ron bhaiyon me
taqsim kar diya.
Lekin
Kamran mirza ka lalach badhta gaya aur vo Humayun se gaddari par uter aaya.
Pahle Usne Punjab par hamla karke Punjab par khabza kar liya. Lekin bhai hone
ken ate Humayun ne use jung ki bajaye sulah karte hue Punjab ko uske hawale
kardiya. Ye Punjab ka ilaqa uske hath se jane ki vajah se Humayun ko bahot sa
mali nuksan uthana pada aur Sultanat ke ahem fauji khitte bhi hath se chale
gaye.
Humayun ke khilaf Baghawate:
Kamran
Mirza ko Punjab ka ilaqa dene ke baad Kamran mirza ki baghawat ruk gayi.
Humayun ne ek ke baad ek baghawaton ka sir khuchla raha. Usne john pur ke
pathan. Bungal ke Afhgan aur Gujrat ke sultan Se jung kiya. Aur sab jungin me
usne fatah hasil karke apne khilafh hone wali baghawaton ko kuchalta gaya.
Kamran Mirza se jung:
Lekin iske
baad bhi Uske khilaf hone wali baghawate kam na hui. Kamran mirza fir bhaghawat
par uter aaya is martaba Kamran mira ne 10,000 ghode lekr Delhi sultanat par
hamle karne ke liye Jung ke liye aa pahucha. Jab Kamran mirza jung ke aa
pahucha jab Naseeruddin Muhammad Humayun delhi me maujud nahi tha.
Lekin Delhi
me uske commander fkhruddin Ali ne Kamran mirza se muqabla kiya. Aur ek azeem o
shaan Fatah hasil hui. Jiske natije me Kamran mirza ko Shikast kha kar wapas
jana pada.
Sher Shah Suri Se Jung:
Sher Shah suri aur Naseeruddin Muhammad Humayun Ke biuch ek Badi jung hui.
Jiski vajah se Delhi par Mughal Sultanat ka khatma hogaya aur waha Sher Shah
suri ki Suri Sultanat khayam hui.
Iss jung ke natije me Humayun ko Hindustan chod kar bhagna pada. Humayun Daryane Ravi par karke Iran chala gaya. Ye Humayun ke liye bahotr zyada mushkil waqt tha. Isi darmiyan Umer kot ke muqam me Jalaluddin Muhammed Akber ki paidaish hui.
Humayun ne Jila watni ke baad kya kiya?
Humayun
jaisev taise iran pahuch gaya. Uss waqt Humayun ke sath sirf 40 afrad the. Iran
me usko Shah iran ke bade bete sultan mirza ne use khush aamdid kiya. Humayun
ne 1544 me shah Tahmasab Sufi se mulaqat ki. Shah Thmasam Sufi ne Humayun ko eka
aala sipahiyon aur ghud sawari par mujtamil ek fauj ata ki. Fauj milte hi usne
sabse pahla hamla Aksari mirza par khandar par kiya. Aksari mirza farar hogaya
aur Tahmasab ko diye wade ke mutabiq khandar ko Iran me shamil kar liya.
Kabul Par Khabza:
Ab uska agla nishana tha Kamran Mirza jiski
hukumat Punjab se Kabul Tak thi. Usne Kamran mirza par bhi hamla kiya aur use
farar hone Par majbur hogaya aur khud Kabul ka hakim ban gaya. Iske baad bhi Kamran
mirza apni Harkaton se baaz nahi Aaya vo bar bar Musalsil Humayun par hamla
karta raha.
Ek din
Humayun ne Kamran mirza ko giraftar kar diya. Ab tak vo Kamran mirza ko bhai
hone ken ate sahta raha par iss bar ussne fayyazi na dikhate hue Kamran mirza
ke aankhon me garam salakhen daal kar use andha kar diya. Aur use haj ke liye
bhej diya. Hajj ke dauran hi Kamran mirza ki Wafat hogayi.
Hindustan par dubara Sultanat Khayam hui:
December 1554
ko 15000 ki fauj lekr Humayun Hindustan p[ar hamla karne pahucha. Usne apna
pahla hamla qila rohtas par kiya Jiski tamer Sher shah suri ne ki thi aur usko
fatah kar liya. Isi tarah vo feb 1555 ko Punjab ka subhdar/Hakim ban gaya.
Isski khabar
Sikander Shah Suri tak pahunchi to vo apni fauj lekre Humayun par Hamla kushi ke
liye rawana hua June 1555 me Humayun aur sher shah suri ke bich sir hind,Punjab
ke muqam par jung hui. Iss jung me ahem kirdar Jalaluddin Mohammed Akber ne Ada
kiya aur Bahaduri seb ladte hue usne fatah hasil ki.
Ab Humayun ne
Aagra aur delhi par fauj ke zariye hamla karna shuru kardiya. 23july 1555 ko
Humayun fir se apne taqt par taqt nasheen hogaya.
Wafat:
24january
1556 ko maghrub ke waqt Humayun Apne khutub khane ki taraf jaraha tha. Sidhi
chadte waqt use maghrib ki azan sunai di. Azan ka jawab dena bolkr vo wahi sidhi
par baith gaya. Azan khatam hone ke baad vo apni shahi chadi ka sahara lekr uth
raha tha ke uski chadi fhisal gayi aur vo shadid zhakmi hogaya. Jiske natije me
uska ilaj na hosaka aur 27 january 1556 ko Humayun ne wafat payi.
Maqbara (Tomb of Humayun )
![]() |
Humayun's Tomb |
Humayun ki wafat ke baad use delhi me dafan kiya gaya. Baadme Jalaluddin Mohammed AKber ne Uspar ek shandar makhbara banya jise Humayun ka maqabara (Humayun's tomb) kaha jata hai.
Adress of Humayun’s Tomb/Humayun ke maqbare ka pata: Mathura Road, Nizamuddin East, Delhi India.
Humayun ke bare me Haqayaq (Facts about Humayun)
- Humayyun ki fayyazi aur Daryadili ki vajaha se Usne kayi Siyasi gltiyan ki.
- Siyasi galtiyon ki vajah se Uski Sulatanat kamzor hogayi.
- Hukumat kamzor hone ka fayda Sultanat ke atraf ke Chote bade hakimon ne uthaya.
- Inhi galtiyon ki vajah se usko Sultanat se hath dhona pada.
- Hindustan par dobara Apni sultanat Khayam karne me Shahzada Akber ka bhot bada hath tha.
- Akber ke bina Hindustan Humayun ko kabhi nahi milta.
Mashallah
ReplyDeleteOutstandig post👍👌....you are doing a great job...keep posting such informative posts👍
ReplyDeleteEvery one is aware of Akbar's history , we were not acknowledged by other Kings . thanks for making us aware of the history of our Muslim Kings . Good job 👍
ReplyDeleteVery informative and interesting topic bhai,Well done.
ReplyDeleteNice mashallah
ReplyDeleteNice keet it up
ReplyDeleteNice containt
ReplyDeleteExcellent work bhai👌
ReplyDeletePost a Comment
If you have any doubt, please let me know