Dirilis Ertugrul Drama:
Humne pichle post me Ertugrul Ghazi ki History bayan ki hai Ummid karta hun ke aap sabne padha hi hoga agar nahi padha to Padh lena. Aaj ke iss post me hum Drama Dirlis Ertugrul ke kuch haqiqi baat bayan karenge jo Drame me jhoot bataya gaya hai.
Hum Sirf
kuch ahem aur tariqa Kirdar ko bayan karenge. Hum iss par agar zyada likhenge
to shayed iske kayi Parts ban jayen.
Halima Khatun ki wafat ka sach:
Drama me Halima khatun ki wafat Osman Ghazi ki paidaish
ke fauran baad mtlb 1258 me Batayi gayi hai. Lekin darasal Halima Khatun ki wafat 1281 me hui.
Darama me Aisa batane ki sirf ek vajah thi ke Halima Khatun ka kirdar karne
wali Esra Bilgic ne aage seasons karne se mana kiya tha.
Ilbilge Khatun ki haqiqat:
Jaise aap sab ne upar padha Esra bilgic ke ye Serial chodne ke baad Halima Hatun ke kirdar ko marna pada. Iss chiz ko recover karne ke liye Drama ke Writer ne Ilbilge Khatun ka farzi kirdar banaya.
Halab ke Amir Al-Aziz ki haqeeqat:
Halab ke
Amir Al-Aziz Muhammad ye Sultan Salahuddin Ayubi Rahmatullah alaih ke pote the.
Inke walid ka naam AlZahir Ghazi tha.
Noyan Ki haqiqat:
Aap sabne
drame me dekha hi hoga drame ka sabse bada Villain Byju noyan. Drame me
sirf kirdar bataya gaya hai hum kuch detail me janenge. Byju noyan Chengiz khan
ke Ek commander ka beta tha. Jiske baad Halaku khan ke daur me use commander
banaya gaya.
Suljuk
Sultanat se jung ke liye Halaku khan ne Noyan ko bheja. Aur History ke hisab se
kayi din tak Ertugrl Ghazi aur Noyan ke bich jung chalte rahe. Par ek bar
shikast khane ke baad Noyan ne firse kabhi Ertugrul se jung nahi ki lekin drame
ke 4th season me noyan firse aajata hai.
Noorgul Ghazi (Turgut Alp):
Noorgul
Ghazi ki paidaish 1195 me hui. Vo ek bahadur Jangju Sipahi the. Unhone pahle
Suleman shah unke baad Ertugrul Ghazi, Osman Ghazi aur Orhan ghazi ka bhi sath
diya. Darame ke hisab se Noorgul ghazi ki koi Aulad nahi thi Lekin Tariq ki Roshni
se pata chalta hai ke Unhe ek beta tha. Unki wafat 1323 ko 128 saal ki umar me
hui.
Note:
"Hum
aage aane wali kayi post me Noorgul Ghazi ki detail me tariq bayan karenge."
Bamsi Beyrek bey (Babar) ki Haqiqat:
Dirilis Aur Kurulus Osman Drame me ek kirdar bataya gaya hai jika naam Bamsi
beyrek hai jise Urdu me dubbed karte hue babar bhi kaha jata hai.
Bamsi
Beyrek ek haqiqi kirdar hai aur Isme me jaisa bataya gaya hai waisi hi
khubiyon wala ek azeem jungju tha lekin Vo Ertugrul ke zamane se takhriban 100
saal purana sipahi tha. Drame me uska kirdar sirf logon ko ek haqiqi shaksiyat se ta'aruf Karana tha.
Iss vajah se Drama me Bamsi Beyrek ka kirdar bataya gaya hai, Haqiqat me vo kabhi Ertugrl Ghazi ya Osman Ghazi se nahi mila.
Gundugdu ki haqiqat:
Gundugdu ye
Ertugrul Ghazi ke bade bhai the jo Ertughrul Ghazi se Alehda hokr Khudka
khabila khayam Kar chuke the. Lekin Drama ke panchwe season me Unhe firse
dikhaya gaya hai. Haqiqat me Ertugrul Ghazi se Juda hone ke baad Gundugdu kabhi unse nahi mile. Balke Gundugdu aur Sngrtkyn dono bhai mangol ke hathon
Shaheed ho chuke the.
Amir Saaduddin Kopec:
Ye Saljuk Sultanat ka ek amir tha Drame me Iska jaisa kirdar bataya gaya
hai ye haqiqat me bhi aisa hi tha. Usne Saljuk sultanat ke liye bahot se junge kiye sirf apne zati fayde ke liye. Lekin Drama aur History me farq itna hai ki
Haqiqat me Use Ertugrul Ghazi ne nahi mara tha. Balke Sultan Gyasoddin Keykubad
ne apne Sipah salar Hasamoddin Karaca ko Saaduddin Kopec ko marne ka hukum diya
tha.
Samsa Cavus:
Samsa alp
aur samsa cavus tariq ke lihaz dono ek hi shaksiyat hain lekin Dirilis Ertugrl
Aur Kurulus Osman me ye dono ko Alag kirdar bataya gaya hai. Samsa Unka naam
tha aur Osmaniya Sultanat ke daur me unheCavus ka laqab mila tha.
Artuk Bey (Aarifin):
Aap sabko Drama
ka ek kirdar Artuk bey to pata hi honge. Lekin dar asal vo Ertugrul ghazi ke
sathi nahi the. Vo Sultan Alif Arsalan ke ek bahadur Sipah salar aur Jerusalem
ke hakim bhi the. Sultan Alif Arsalan ka daur Ertugrul Ghazi ki paidaish ke 200
saal pahle tha.
Artuk bey ek bahadur Sipahi hone ki vajah se Vo turkon ke hero the jiske vajah se Dirilis Ertugrul me unka kirdar bataya gaya hai.
Note: Sultan Alif Arsalan ki Tariq par bhi hum Post likhenge.
Abdul Rahman Ghazi:
Abdul
Rahman ghazi ye Ertugrul ghazi ke dost the. Abdul Rahman Ghazi ne pahle jungon
me Ertugrul Ghazi ka sath diya fir uske baad Osman ghazi aur Orhan ghazi ke
daur tak Fanune Sipah giri se ladte rahe. Unki wafat 1329 me hui.
Dogan Alp (Roshan):
Roshan ka
zikar kisi tariq se malum nahi Sirf drama me logon ka intrest badhane ke liye
Farzi kirdar bataya gaya hai.
To doston,
ye the Dirilis Darame ke kuch Kirdar ki haqiqat. Iss drama ke
writer Mehmat Bozdag ne khud bataya hai ke jab unko ye likhne ka Khayal aaya tab unke pass
sirf 15 pages ki taiq thi. Iss vajah se unhe farzi kirdar dalna pada. Ertugrulghazi ke khandan ki malumat ke alawa bahot se farzi kiradar bataya gaya hai.
Iske alawa
Kuch Azeem Shaksiyat ko isme dala gaya hai chun ke un shaksiyat ki tariq bhi
iss darame ke isse logon tak malum hojaye.
To doston
isse pata chalta hai ke drama me bahot si chizen Shamil ki jati hain jisse drame ki mashhuriat badhe aur Log zyada se zyada dekhen. Drama dekhne ke sath sath
aap ko vo kispr hai uski puri History padhna chahiye. Taki aap asal malumat
hasil kar len.
Agar humse likhne me kuch glti hogayi ho to braye maherbani Hame comment karke zaroor batayen. Hamari website par Visit karte rahe hum Har 2din me ek bar ek post lekr aapki khidmat me hazir hote rahte hain.
Shukriya!
Super bhai👌🏻👌🏻👌🏻
ReplyDeleteShukriya reality btane k liye👍👍👍
ReplyDeletePost a Comment
If you have any doubt, please let me know