Marde Mujahid Amir Ertugrul Ghazi bin Suleman shah qaywi Turkaman
Doston to aajse hum Ottoman Empire (Osmania Sultanat) ke tamam badshahon ki series bayan karenge. Aaj ki post me hum Osmania Sultanat ke bani Osman Gazi ke walid ki tariq bayan karenge. Waise aaj kal Turkish drama Dirilis Ertugrl me aap bahot si tariqa waqiyat vo dekh chuke hain. Hum zyada tafssel me nahi balke muqtasran Tariq bayan karenge.
Khandani Malumat:
Ertugrul ki
paidaish san 1191 me Turki ke Ahlat ke ilqe me ek Oguz qabila Qayi Qabile me
hui. Vo Qayi qabile ke Sardar Suleman shah ka beta tha. Suleman shah aur
Hamyema khatun ko 4 bete the. Ertugrul, Dundar, Gundugdu aur Sngrtkyn.
Inhone Saljuki shazada Noman ki beti Halima hatun Se shadi ki. Jinse unhe 3 bete
the Gunduz, Savci aur Osman ghazi (Jo sultanate Osmaniya ke bani the)
![]() |
Statue |
Qayi qabila aur hijrat:
Qayi qabile
ka asal watan qarasan tha jaha mangolon ne lut pad macha rakhi thi. Iss vajah
se qayi qabile ko hijrat karne padi. Qayi qabile ne Saljuk Sultanat ke ek Hisse
Ahlat me aakr bas gaye.
Ahlat par
Ab mangol ka khatra mandra raha tha aur sardiyan Aane wali thi to Ahlat ka
ilaqa unke liye sahi nahi tha. Iss vajah se 1222 ko unhone halab ki or hijrat
karne ka faisla liya. Halab par Fateh Baitul Muqaddas Sultana Salahuddin Ayubirahmatullah alaih ke pote Al-aziz ki hukumat thi.
Halab me
basne ke baad Suleman shah ne apne bete ki madad se salebiyon ka qila fatah
karne ka faisla kiya. Aur vo isme kamyab bhi hue.
Suleman Shah ki wafat:
1236 ko
Suleman shah ki wafat ke baad Inkoko Kayi qabile ka naya sardar banaya
gaya. Lekin kuch hi waqt ke baad Qabila 2 hisson me bat gaya ek Gundugdu ahlat
chale gaye. Aur inhone
Sultan Alauddin Keyqubad ke Saljuki sultanat me panah lene ka faisla kiya.
Ertugrul aur Safed dadhi wale:
Ertugrul
bachpan se hi shatir aur ek taqt war shaks the. Inke walid Suleman shah
jo the vo turkon ki safed dadhi wale logon ki tanzeem me shamil the. Ye tanzeem
Musalmano ko pure jahan me madad karne ke liye banayi gayi thi.
Ertugrul ek
nek aur bahadur shaksiyat hone ki vajah se Safed dadhi walon ne bhi In ko
apne groh me shamil kar liya. Vo safed dadhi walon ke sardar Ustad Shaikh adeebali aur Ibnul Arabi rahmatullah alaih ki sarbrahi koi bhi jung aur faisle me kiya karte the.
Suljuk Sultanat me aamad:
Jab Ertugrul
ghazi sultan Alauddin se milne quniya jarahe the to bich me Inqara ke muqam par
jung ho rahi thi. Inhe pata nahi ye jung kiski thi Lekin vo parwah kiye
bina kam fauji daste walon ki madad karne maidane jung me utar gaye.
Ye jung thi
Sultan Alauddin keyqubad aur tatariyon ke bich. Ertugrul aur iske sipahiyon ne
Badi bahaduri dikhate hue Tatariyon ko shikast dedi. Unki iss bahaduri
ko dekhte hue Sultan alaudin ne Inqra ke kharib jagah di.
Dekhte
dekhte Ertugrul ki ab taqt badhti ja rahi thi. Vo har waqt kisi jado jahad
me masruf raha karte the. In ko diye hue ilaqa Saljuk Sultanat ka ek ahem
ilaqa tha jaha se Sultan Alauddin ki sultanat aur bhi mazbut hogayi.
Sardare Aala ka muqam:
Usske baad
Sogut shaher ko Ertugrul ki jagir bana kar use waha ka sardare aala banaya gaya.
Ab sardare aala ke haisiyat se vo ab bahot taqt war ho chuka tha. Lekin
har waqt se baztiniyon aur Mangolon ka khatra bana rahta tha.
Agar Sultan
Alauddin ke alawa koi aur sultan hota to Inki ki badhti hui taqat ki vajah
se us se Uski jagiri ko wapas le leta. Lekin Inki vajah se Saljuki
Sultanat me thodi bahot taqt baki rah gayi thi.
Ky uke uss
waqt Saljuki sultanat nihayat hi kamzor ho chuki thi. Apne mahel me hone wali
gaddariyon aur baghawaton se ladte ladte Sultan ab kamzor ho chuke the.
Baztini aur Mangolon se jung:
Saljuki
Sultanat ne Mangolon se jung karne ka faisla kiya. Iss jung me Sultan ke Sipah
salar ke tour par Inhen aur inke sathiyon ko Shariq hona tha. Ye jung
Mangolon aur baztiniyon ki ittehadi fauj thi.
Yani shaher
aur Barosa ke bich ek muqam par ye jung hui. Jisme Baztini aure mangolon ke
lakhon Sipahiyon par mujtamil fauj thi. Lekin vo bahaduri se ladte hue. In
par fatah hasil ki jiss vajah se.
Note:-
Sultanooni:
Sultan ne
inhe qaraja dagh se sogut aur barosa tak ki jagiri di. Iss jagir ko inhone Sultanooni ka naam diya. Sultanooni ki jagir jo Ertugrul ko mili hai use
hi Sultanate Usmaniya ki jade bhi kaha jata hai.
Islam ki
sir bulandi ki khatir kiye gaye Jihadon ki vajah se Ertugrul ghazi aur unke
kayi sathiyon ko Gazi ka laqab mila. Gazhi ki khwahish thi ke vo
Islami Sultanat ko badhane aur Islam ko phailne me madad karne ke liye vo
khudki ek Azeemoshan Sultanat banana chahte the.
Unke iss khwab
ko unke chote bete Osman ghazi ne pura kar liya. Osman Gazhi ke sultanat banane ke baad bhi Uska naam Sultanooni hi tha. Orhan ghazi ne iska naam change karke Osmaniya Sultanat rakha.
Wafat:
Inki wafat
ko lekr tariq me kayi iqtelafat hain kayi logon ke hisab se 90 saal ki umer me
1281-1282 ko inki wafat hui. Aur kuch tariq dano ke hisabn se 98 saal ki umar
me 1288-1289 ko unki wafat hui.
Inhe Sogut
(Turkey) me dafan kiya gaya, Inki mazar par Osman ne ek maqbara aur ek
masjid bhi banayi hai.
Islami
Sultanat ke liye jo Ertugrul ghazi ne Karname anjam diye shayed hi vo kisi ne
anjam diye hunge.
Inhone Apne bete Osman Ghazi ko kahi gayi baat:
“Tum
hamesha Shaikh Edebali ki pairvi karoge. Shaikh Edebali hamare qabile ke roshan
dan ki tarah hain. Mujhe chahe tum izzat na do lekin tum apni puri zindagi me
Shaikh edebali ko apne ustad ke taur par aur Tumhare sarbrah ke taur par manzur
karoge. Aur ye meri aakhri khwahish hai.”
To doston Ye thi Ertugrul Ghazi ki Choti Muqtasran si tariq bayan ki hai. Agar humse likhne me kuch glti hogayi ho to Hame maaf karde aur Hamari glti ko comment kar ke zaroor batayen.
Turkish drama ke Kirdaron ki Sahi History par ek post banane ke liye bahot se massages aur Comments aarahe hain. Kya aap Uss topic par bhi post chahte hain to apni Suggestion Comment me zaroor bataye.
Shukriya!
👌🏻👌🏻👌🏻👌🏻👌🏻
ReplyDeleteErtugrul ghazi was a great personality of muslim👍👌👌👌👍thanks for detailed information of his history👍
ReplyDelete👌
ReplyDeletePost a Comment
If you have any doubt, please let me know