Razia Sultana- The first and last muslim female Ruler
Waise Hindustan
ki tariq me kayi muslim Badshah guzre hain. Lekin Hindustan ki sir zameen par Delhi sultanat ki sirf ek aurat ne hukumat ki jise Tariq aaj Razia sultana ke naam se janti hai.
To doston aaj ke iss post me hum Razia sultana ki history detail me janenge.
Razia
Sultana ka asal naam Raziyaldin tha jo Mamluk Sultanat ke tisre Badshah iltumish
ki beti thi. Unki paidaish 15 october 1240 me khaithal (Maujuda Hindustan ki
Haryana riyasat ka ek zilha) me hui. Unki walida ka naam Turkain Khatun tha.
Razia Sultana ki Ibtedai Zindagi:
Waise Badshah
Iltumish ko 4 bachhe the lekin Razia Sultana unhe sabse aziz thi kyu k evo ek
hi beti thi. Jab Badshah Iltumish dehli ke taqt par baithe jab Razia Sultana ki
umer sirf 5 baras thi.
Pasandida aulad
hone ki vajah se Badshah unhe darbar me aur dartbar ke faisle sunate waqt
hamesha sath rakha karte the.
Taleem:
Badshah
Iltumish ne Razia sultana ki deeni taleem ke sath sath ek achi taleem,
Ghudsawari, Teerandazi aur tawar bazi ki bhi achi taleem karayi.
Iske alawa Razia
Sultana ne bahot kam umri me shariyat par amal karte hue parde ka ahtemam bhi
karna shuru kar diya. Iltumash ke sabhi bete na ahel aur na kara the.
Iss vajah
se Badshah iltumish ne Apna ja nasheen Razia Sultana ko banaya. Jiski vajah se
tamam sultanat me khjalbali mach gayi k eek khatun Hindustan ki hukumran kaise ban
sakti hai.
Lekin Razia
Sultana me dileri aur acha dimag tha. Kyu ke vo ek ache Badshah ki beti hone ke
sath sath Hindustan ke ek azeem Badshah Qutubuddin Aibak ki nawasi bhi thi.
Bhai ki Na ahli:
Badshah
Iltumish ki wafat ke baad Unke baat par amal na karte hue Ruknuddin firuz ne
taqt par zaberdasti khabza kar liya. Ab Razia sultana Akeli hogayi thi.
Sabko laga
ab Razia sultana ek aurat hain to ro dho kr chup ho jayenge aur apne bhai ko
Sultanat chalane denge. Lekin khismat ko kuch aur hi manzur tha. Ruknuddin
Firuz awwam me nahel aur nakara Badshah sabit hua.
Use awwam
sahi nahi dekhti thi, Isi ka fayda uthate hue Razia ne dehli ke logon ki madad
se Firuz par hamla kar ke Ruknuddin Firuz aur uski maa (Jo Razia Sultana ki
saunteli maa thi) un dono ko khatal kar diya.
Taqt Nasheen:
1236 me
bhai ko shikast dekr khatal kardiya fir Khud dehli ki taqt par Mamluk Sultanat
ke panchwe hukumran ban kar baithi.
Razia
Sultana ek Hoshyar Hukumran hone ki vajah se unhone bahot kam waqt me apne awwam
ka dil jeet liya. Apne nana aur walid ki tarah logon ke dilon me rah kr sultanat
ka kam kiya karte the.
Lekin Awwam
ke pasandida hone ke bawajud Razia sultana ke khilaf kayi baghawat hone lage. Kuch
logon ne Sirf isi vajah se baghawat kar di thi kyu ke raziya sultanat ek aurat
thi.
Waise Razia
Sultana dikhne me bahot khubsurat the unhe duniya bhar ke hakim aur shahzadon ke
rishte aaya karte the.
Baghawaten:
Lekin Bhatinda
ka hakim ko Razia se mohabbat kuch zyada hi hogayi thi. Lekin Razia sultana
Habshi gulamane khandan ke Jamaluddin arif yaqut par thi aur vo unse shadi
karna chahti thi.
Bhatinda ka
hakim Malik altuniya ko ye baat jab pata chali to usne Raziya sultana par
hamla karne ka mansuba banaya. Usne apne kharibi sathi aur dost lahore ke hakim Malik al azizuddin
ko jung me uska sath dene ke liye dawat di.
Malik Al
azizuddin ne dawat khabul karte hue Malik al tuniya ke sath milkr Dehli par
hamla karne ka mansuba banaya. Inka sath dehli me Razia Sultana ka sauntela
bhai Muizioddin Bahram bhi sath tha.
Razia aur Altuniya ke bich jung:
Razia
sultana ko jab iss baat ka ilm hua Jamaluddin yaqub aur apni fauj ko lekr Malik
Altuniya se jung kwe liye chal padi. Lekin bich me bagiyon ne un pr hamla kar
diya ye wahi log the jo aurat ke hukumran hone par aitraz kiya karte the.
Iske baad
Al Azizuddin aur malik Altuniya ne unpr hamla kar diya jiske natije me Razia
sultana ko shikast hui aur Jamaluddin yaqub ko wahi mar diya gaya.
Jung ke
aakhir me ye tay hua tha ke Razia sultana ko mar diya jaye lekin Malik altuniya
Razia sultana ke mohabbat me giraftar ho chuka tha. Usne Razia sultana ko shadi
karne ke liye kaha aur kaha “agar tum shadi ke liye man jati ho to mai sazaye maut
ko maaf kar dunga”.
Razia aur Altuniya ki shadi:
Thoda
sochne ka baad Razia sultana dil hi dil me kaha “agar mai man jati hun to iski
vajah se mai apna taqt firse hasil kar sakti hun” iss vajah se Razia Sultana ne
shadi ke liye ha kar diya.
Razia
Sultana aur Altuniya ki shadi hui. Shadi ke kuch hi maah baad Razia sultana ne
Altuniya ko ahsas dilaya ke wahi dehli ke asal sultan hona chahiye. Kyu ke
Altuniya ki vo chaheti biwi thi Iss liye Altuniya man bhi gaya.
Delhi par pahla Hamla:
Altuniya
aur Razia ne mansuba banaya k evo dehli par hamla karenge. Altuniya atraf ke
zameendaron aur subhedaron ko jama kar ke unko sath dene ke liye kiya.
Ek a‘ala darje
ki fauj bana kar Altuniya aur Razia Muizoddin Bahram ke khilaf jung ke liye
nikal pade. Muizoddin Bahram ne apne bahnoi ejazoddin balban ko Razia sultana
se jung ke liye bhej diya.
Dono fauj
me bahot dino tak jung chalti rahi. Lekin iska natija Razia ke haq me nahi
aaya. Inhe shikast hui thi. Lekin dono miya biwi bhagne me farar hogaye the.
Delhi par dusra Hamla:
Dono bach
kar Bhatinda wapas aagaye, Iss shikast ke baad Razia sultana gumsum rahne lagi.
Lekin Malik altuniya ne inki Himmat afzai karte hue kaha ke hum firse koshish
karenge.
Malik
Altuniya ne Firse dehli par hamla karne ka mansuba banaya. Firse dono jung ke
liye nikal pade par iss bar bhi khismat ne inka sath na diya lekin vo bach kar
bhagne me kamyab hogaye.
Wafat:
Dono farar
hone ke baad kayi ghanton tak ghudsawari karte hue laut rahe the. Unke piche
sipahi aarahe the lekin vo farar hone me kamyab hogaye lekin baadme unka kuch pat
ana chala. 14 october 1240 ko Sipahi muhasra kar rahe the to inhe Razia Sultana
aur Malik Altuniya ki lash mili.
Razia sultana ka maqbara (Tomb of razia Sultana)
Sipahiyon
ne lash ko dehli laya aur unhe Turkmani darwaze ke kharib Bulbul khane me dafan
karke maqbara banaya jise aaj raji siji ki dargah ke naam se jana jata
hai.
👌🏻👌🏻👌🏻👌🏻👌🏻
ReplyDeleteMast bhai👌🏻
ReplyDeleteVery informative blog , well done 👏👏👏
ReplyDeleteSuper history
ReplyDeleteVery brave queen of muslim👌👌👍👍👍 thanks for sharing this informative post
ReplyDelete👌👌
ReplyDeleteNice post ��
ReplyDeleteReally we take a good lesson from your stories.
ReplyDeletePost a Comment
If you have any doubt, please let me know