Pichle ek post me humne Razia Sultana ke bare me padha hai. Aaj hum Razia Sultana ke walid Aur Qutuboddin Aibak ke Damad Shamsuddin Iltumish ki tariq ko janenge. Jo Mamluk Sultanat ke tisre Badshah the 1211 se lekr 1236 tak 24 saal Dehli par hukumat ki hai.
Shamsuddin Iltumish:
Ibtedai Zindagi:
Shamsuddin Iltumish
ye Badshah Qutuboddin aibak ke ek Gulam the. Jiske baad Qutuboddin Aibak ne
apni Beti Qutub Begum ki shadi unse kardi. Iske alawa Shamsuddin Iltumish ki ek
aur biwi thi jiska naam Shah Turkan tha.
Unhe 4
bachhe the Ruknuddin Firuz, Rzia sultana, Naseeruddin Mahmud aur Muizuddin
Bahram. Vo ek gulam hone ki vajah se Unke waliden aur Unke paidaisha ka asal muqam
aur tariq hame pata nahi hai.
Bihar ka Subhedar:
Qutuboddin
Aibak ne Iltumish ki Bahaduri ko dekhte hue apna beta hi mante the. Lekin Taqt
ka asal waris Apna khud ka beta Aram shah ko banaya. Iltumish ko unhone Bihar ka
hakim banadiya tha.
Dehli Sultanat ke Badshah:
Qutuboddin
Aibak ki wafat ke baad Unka beta Aram shah taqt nasheen hua. Lekin vo bada na
ahel Badshah sabit hua. Mahel ke waziron ne Iltumish se rabta karte hue unse
kaha ke “Agar isi tarah se Aram shah ki na ahli chalti rahi to Sultanat Mitthi
me mil jayegi” Ise dekhte hue Iltumish ne Dehli par hamla karne ka mansuba
banaya.
Aram shah ki
na ahli ki vajah se Sultanat ke subhedar khud muqtar ban baithe the. Jiski
vajah se Iltumish ne April 1211 me Aram Shah par hamla kar diya aur Aram shah
ko shikast dekr khatal kar diya. Jiske baad may 1211 ko Shamsuddin ne Iltumish
ke laqab ke sath Taqt nasheen hue.
Iltumish ke
maine hone hain Riyasat ka asal Nigheban. Kyu ke uski achhi parwarish hui thi
aur vo khud bahot bahadur tha iss vajah se Mahel ke waziron ne use Iltumish ka
laqab pesh kiya.
Jungen aur Fatuhat:
Iltumish ne
Badshah bante hi pahle Subhedaron ki baghawaton ko kuchalne ka kam kiya jo Aram
shah ke zamane me shuru hui thi. Inhone Ghazni me Tajuddin Sindh me naseeruddin
aure bangal me Khiljiyon ki baghawaton ko kuchalne me kamyab rahe.
1221 me
Mangol Changez khan Hindustan ki taraf rawana hua. Juski vajah se Sultanat me
khauf ka manzar bana hua tha. Lekin bich me khwazam shahi sultanat ke Badshah Jalaluddin
Khwazam par hamla kar diya. Aur unki sultanat ko tabah vo barbad kar diya.
Jiski vajah
se vo wahi se laut gaya jiski vajah se Changez khan se Hindustan ko khatra kam
hogaya tha.
Iske alawa
Iltumish ne apni zindagi me bhagawate kuchalne ke alawa Bahot se jung kiye
jisme unho zyada tar fatah hi hasil hui. Jisme Junge Ranthambur karke Rajput Sultanat
ko shikast di aur digar rajpur riyasat Mando, gawaliar aur Ujjain jaise fatuhat
hasil karke Apni sultanat ko wasee bana diya.
Abbasid Khilafat se Dosti:
1226 me Islami taqt ko majbut karne ke liye Sultan Shamsuddin Iltumish ne Abbasi khilafat ke khalifa
ko kaha ke sab Muslim sultanat ko mushtarik hona chahiye. Jiskee natije me 1228
ko Abbasi Khilafat ke khalifa Al nasir ne unka ye farman khabul kar liya.
Ek aazad
Sultanat hone ke bawajud Islami Sultanat ke khatir unhone Abbasi khalifa ke sath
milkr kam kam kiya.
Bengal ki jung:
April 1229
ko Unke bete Nasiruddin mahmud ki wafat hui jo bangal ke subhedar the. To Shamsuddin
Iltumish ke Ek wafadar Wazir Malik Ikhtiyaruudin Balkha ne unke khilaf baghawat
karte hue khud Bangal ka subhedar ban gaya. Shamsuddin Iltumish ne iss 1230 me
jung karke use khatal kar diya. Iske baad Malik Alauddin jani ko bangal naya
hakim muqarrar kiya.
Usool-E-Zindagi:
Shamsuddin
Iltumish ek nihayat hi sakhawat aura dal pasand Badshah the. Unki ek khubi ye
bhi thi ke vo Hamare Huzur hazrath Mohammad Mustafa Sallahu alaihu sallam ki
sunnat par amal karne ke wale shaks the. Vo raat bhar ibadat karte aur Din me
Sultanat ki bhag daud sambhalte the.
Unhone apne zindagi ka usul Qutuboddin Aibak ke jaisa hi rakha tha. Skhawat, Adalat aur Imandari. Vo har juma ko baad namaze juma Gareebon, Yatimon, Bewaon aur Fhakir durweshon se milkr unme Paise kapde aur mithai bat diya karte the. Unke paas koi der raat bhi Faryad lekr aata to vo unki bhi suna karte the.
Inhe dekh kar bachpan me hi Hamiduddin Nagauri Rahmatullah alaih ne aur Ek martaba Khwaja Moinuddin Chisti rahmatullah alaih ne kaha tha ke ye kal ka sultanul Hind hai.
Isi tarah ki Nek dili ki vajah se Shaikh Abdul haq mohaddis dahlvi rah. Ek jagah likhte hain “Badshah Iltumish ki koi missal nahi milti aur na unke jaisa ulmaye din ki tazeem krne wala koi na tha.” Badshah Shamsuddin Iltumish din aur duniya ko milane wale Majmaul Bahrain the jinhone din ko khayam rakha aur duniya ko bhi.
Unhe kayi
Waliyon ka Sharaf bhi hasil tha jinme Khwaja Qutuboddin Bakhtiyar KakiRahmatullah Alaih, Hamiduddin Nagauri Rahmatullah alaih, Bahaddin Zariya
Rahmatullah alaih, Najibuddin Naqshbandi Rahmatullah alaih.
Lekin vo apna zyada tar waqt Hazrat khwaja Qutuboddin Bakhtiyar khaki ki bargah me guzara karte. Ek waqt logon ne dekha ke Khwaja Bakhtiyar Khaki rah. Unke ghar me baithe hue the, Ek shaks niche baith kar unke paon daba raha tha. Vo shaks koi nahi balki Shamsuddin Iltumish hi the.
Khwaja Moinoddin chisti Rah. Ke ustad Usman Harun ne Shamsuddin Iltumish ko Mard-e-kamil Ka laqab diya tha. Ek Martaba Shamsuddin Iltumish Khwaja Bakhtiyar khaki ke pass pahunche, Khwaja ne kaha batao kya kam se aaye ho. To Badshah ne jawab diya koi kam khas nahi mujhe bs ek baat puchni hai ke mera Qayamat me shumar kin logo me hoga.
Ek dafah
unke wazir ne unhe ek sujhao diya ke “hamari sultanat me Musalmano ki aksariyat
kam hai kyu na hum dusre mazahib ke logon ko zaberdasti musalman banade” iske
upe Shmasuddin Iltumish ne jawab diya Islam ko hum zaberdasti phaila nahi sakte.
Agar hum unhe Zaberdasti Muslim bana bhi de to unka iman pakka nahi rahega.
Unke pure
daure hukumat me unhone har dharm ko unke hisab se rahne ki puri aazadi di hui
thi.
Tameerat:
Iske alawa
unhone Qutuboddin Aibak ke adhure tameerat jaise Qutubminar aur Quwate Islam
Masjid ki tameerat ko mukammal kiye.
Wafat:
To doston ye thi Shamsuddin Iltumish ki tariq. Agar hamse likhne me kuch glti hogayi to braye mahrbani comment me zaroor batayen.
👌🏻👌🏻👌🏻👌🏻
ReplyDeleteSuperb bhai👌🏻🤗
ReplyDeleteNice 💯
ReplyDelete👍👌🏻👌🏻
ReplyDelete👍👌🏻👌🏻
ReplyDeleteNice post👌👌👍👍
ReplyDelete👍👍
ReplyDeletePost a Comment
If you have any doubt, please let me know