Sultan Hyder Ali Khan
Humne
pichle kayi post me Mughal sultanat aur Hindustan ke digar badshahon ki tariq
ko muqtasar me bayan kiya hai. Aaj hum iss post me Mysore ke sultan aur Tipu
sultant ke walid Sultan hyder Ali khan ke bare me baat karenge. Agar aap ne abtak
hamare pichle post nahi padhe hain to baraye maherbani padh kar sahi tariq malum
karlen.
![]() |
Sultan Hyder ali |
Hyder Ali
ka pura naam Shams-ul-malik Amirud dawla Nawab hyder Ali bahadur tha. Sultan Hyder
ali ki paidaish 1720 me badekot, Kolar, Karnataka me hui. Inke walid ka naam
fateh mohammed tha.
Jab Unki
umar 5 saal ki hui to unke walid Fateh Mohammad ki wafat hogayi. Unke chacha ne
unhe fanune ne sipah giri kit alim di. Jiski vajah se vo ek ache sipahi ban kar
ubhre. 1752 me Sultan Hyder ali ne Mysore ke raja Krishna raja wadyar ke yaha
mulazimat karna shuru kiya.
1755 me
mysore par Maratha hamla hua Raja Karishna ki taraf se Sultan Hyder ali badi
bahduri se lade. Iss jung me unhe fatah hasil hui. Jiski vajah se Raja ne unhe
Mysore ka sipah salar banaya.
1759 me raja
ne Sultan Hyder ali ki bahduri ko dekhte hue unhe Nawab hyder ali khan ka
khitab diya. Ye mysore ke pahle shaks the jise nawab ka khitab diyta gaya tha Jiski vajah se unhe Mysore ke nawab bhi kaha jata hai.
Taqt Nasheen:
1761 me Mysore
ki bad intezami aur raja wadyar ki na ahli ke chalte Sultan Hyder ali ne raja
ko taqt se hata diya. Aur khud taqt nasheehn hue aur raja ko maha wari wazifa
dekr mahel me nazar band kara diya.
Sultan Hyder
ali ke hath me ab mysore ki ek choti si riyasat thi. Iss waqt Hindustan me Mughal
sultanat bahot kamzor hochuki thi. 1765 me angrezon ne Mughal Badshah shah alam
sani ko wazifa dekr Unki sultanat sirf dehli tak hi mahdud ki. Jiski vajah se
Hyder ali ko khudka hukum aur khudki sultanat me koi madaqilat nahi thi.
Sultan Hyder
ali ke 4ro aur se unhe dushman ne ghera hua tha Junub me angrezon mashriq me Hyderabad
ka nizam aur shumal me Maratha hukumat thi. Jo mysore sultanat ke ittehadi
dushman the.
First Angelo-Mysor war:
Hyder Ali
ne british Sarkar ko Jununbi Hindustan se bhagane aur Pure hindusta se bhagane
ke liye unhone ek khwab dekh tha. Isi vajah se Sultan Hyder ali ne apne pados
ke tamam riyaston ko ek karne ki koshish ki lekin vo isme nakam rahe.
Angrez - Nizam - Maratha Alience(Muaheda):
Sultan Hyder
ali ke iss koshish ko dekhte hue angrezon ne Maratha aur Nizam se muhayeda kiya
jise (Tripartite alience) kahte hain. Jiske vajah se british ab South me bahot taqtwar
ho chuke the.
Muaheda Toda:
Lekin Hyder
ali ek shatir aur umda dimag wale sultan the. Unhone Maratha Hukumat ko
muwayeza dekr unse guzarish ki ke kuch samay ta kiss jung me shamil na ho. Isme
hum dono ka hi fayeda hai. Aur Maratha iss baat ke liye man gaye aur inhone
jung ke liye inkar lkar diya.
Ab British
muayehde me sirf nizam shamil tha. Hyder Ali ne nizam ko ek offer diya jisme inhone
kaha ke “agar tum mujhse mil jao to tumhe Iss jung ke fatah ke baad jo bhi
milega uska kuch hissa tumhare sultanat me bhi jama kar dunga”. Iss muahede ke liye
nizam tayyar hogaya.
Jung ka aagaz:
Iss tarah
se brtish muaheda (Tripartite alience) tut gaya. Ab ye jung sirf Sultan Hyder
ali aur british ke bich me thi. Ye jung takriban 1766 ko shuru hui. Hyder ali
ke pass ache hattyar aur achi salahiyat hone ki vajah se iss jung ka kuch
natija nahi nikal raha tha.
Sultan Hyder ali ne apna dimag istemal karte hue Angrezon ke ghutne tekne ka mansuba banaya. Iss mansube ke tahet unhone apni fauj ko Angrezon ke samne tainat rakha.
Madras ka muhasera:
Aur
khud madras ki taraf chal pade. Iss baat ki khabar kisi angrez afser ko nahi
thi. 1769 ko unhone madras (Chennai) ka muhasera kar liya.
Iske baad
Angrez hukumat me khalbali mach gayi. Kisi ko Sultan Hyder ali se ye ummid nahi
thi. Iss vajah se angrezon ne apne ghutne tek diye. Kyuke Angrezon ne ghutne
tek diye iss vajah se Sultan Hyder ali ne unpr ek shart rakhi ke angrez har
jung me Sultan Hyder ali ka sath denge.
Sulah:
Angrezon ko
bhi pata chal gaya tha ke ab hyder ali se ladna mushkil hai. To unhone iss muahede
par amal karte hue Sultan Hyder ali ko zaban dekr wada kar diya. Iss ladai ko pahli Angelo-Mysore jung (First Angelo Mysore War) kaha jata hai.
Second agelo-Mysor war:
1771 me Maratha aur Hyder ali ke bich firse ek jung hui. Jisme Hyder ali ki Angrezon ne koi madad nahi ki jiski vajah ne angrezon se kiya hua muaheda tut gaya. Ab hyder se birtish se ummid chod di thi.
French Se dosti:
Sultan Hyder
ali ne ab French ke sath apne taluqat ache karna shuru kiye. Mysore sultanat me
ek ilaqa hai mahe bolkr waha Fren h ka tijarti markaz tha. French aur agrez ek
dusre ke dushman the jiski vajah se Sultan Hyder ali aur French ke bich taluqat
ache hogaye.
Ise dekhte hue Angrezon me ek dar paida hua agar inki dosti isi tarah chalti rahi to hame Hindustan chod kar bhagna padega.
Mahe par Angrezon ka hamla:
Unhone mahe par hamla kar diya jiski vajah se
Hyder ali ne unhe lalkara ke ye mera ilaqa hai mujhe italla kiye bagair tumne
mahe par hamla kaise kiya.
Anti-English Muaheda:
Ab British
ke badhte chalon ko dekhte hue Hyder ali ne Maratha aur nizam se milkr kr ek
Anti English muaheda banaya. 1780 me Maratha, Nizam aur hyder ali ne milkr angrezon
ke commander col. Ballie ko hara diya.
Angrezon ko
ab pata chalgaya tha ke ab vo Sultan Hyder ali ka muqabla nahi kar sakte. Ab
angrez ye muaheda todne ki koshish karne lage. Jiske baad ye sir Eyre coot ne
ye muaheda tod kar firse oin tino ko mushtarik kar diya.
1781 me porto
novo ke muqam par ek badi jung hui. Hyder ali ke sath koi na hone ki vajah se
Vo jung me har gaye.
Hyder Ali ki Wafat:
7 december
1782 ko Hyder ali cancer ki vajah se bahot bimar hogaye. Jiski vajah se unki
wafat Chittoor, Aandhra Pradesh me hogayi.
Unhe srirangapatna me dafan kiya gaya. Unki wafat ke baad 1984 tak Unke bete
shere mysore hazrat tipu sultan ne ye jung ko jari rakha.
Sultan Hyder ali ke bare me haqayaq (Real facts)
- Hyder ali jab taqt par baithe jab unke sultanat me sirf 38 gaon the. Lekin unke umda fane sipah ke chalte unhone apni Riyasat ko badhaya.
- Hyder ali ne koi taleem hasil nahi ki thi lekin iske alawa unke dimag ke chalte bade bade masle chand lamhe me hal kar dete.
- Inhone kabhi kisi majhab ko bura bhala na kaha. Vo har majhab ke logon ko unke majhabi aetebar se nahi balke apni riyaya kin azar se dekhte the.
- Ye shaks ko dekh kar uske chahre se uski khubiyon ka pata laga lete the.
- Sultan Hyder ali ki shaksiyat ke bare me batane ke liye sirf Itna kafi hai ke vo tipu sultan ke walid the.
Important and Informative knowledge👌🏻.keep it up☝️
ReplyDelete👌👌
ReplyDeleteVery nicely described the great king of muslims👌👍 ...keep posting such informations....it will inspire to our muslim community👍
ReplyDeleteI spend some good time here.
ReplyDeletePost a Comment
If you have any doubt, please let me know