Mamluk Dynasty
![]() |
Doston! Humne
Mamluk Dynasty ke pichle 3 posts me 3hukumranon ki tarif bayan ki hai jisme hai
Mamluk Sultanat ke bani Shahenshahe Hindustan Qutubuddin Aibak, Badshah Iltumish
aur Razia Sultana. Aaj ki iss post me hum Mamluk Sultanat ke Dusre badshahon ki
Tarikh padhenge.
Mamluk
Sultanat ke 11 badshahon ne 1206 se 1290 tak takriban 86 saal Hindustan par
hukumat ki. To aaj un sab ki detail me history hasil karenge.
Badshah Qutuboddin Aibak
Mukammal History padhne ke liye visit kare>>> Click here
Badshah Aaram Shah:
Qutuboddin
Aibak ki achanak Ghode se girne ki vajah se wafat hui. Wafat ke baad Qutuboddin
Aibak ka beta Aram Shah 5 november 1210 me Dehli ke taqt par taqt nasheen
hogaya. Lekin vo ek Aaram pasand aur na ahel Badshah sabit hua.
Aram Shah
Ki Na’ahli ko dekhte hue Sultanat ke kayi Subhedaron aur Dusre Turk Sardaron ne
use Badshah manne se inkar kar diya. Jiski Vajah se Badshah Iltumish ne Use April
1211 me khatal kar diya. Aur khud Hindustan k eagle Badshah ban gaye.
Badshah Shamsuddin Iltumish:
Mukammal History padhne ke liye visit kare>>> Click here
Ruknuddin Feroz:
Shamsuddin
Iltumish ne apne Zindagi me hi apne beton ki Sharab noshi aur ayyashi ko dekhte
hue Apni Beti Razia Sultan ko Wali ahed bana diya tha. Lekin April 1236 me
Badshah Shamsuddin Iltumish ki wafat ke baad unka bada beta ruknuddin Feroz zaberdasti
taqt nasheen hua.
30 April
1236 ko Ruknuddin Feroz taqt nasheen hua lekin vo abhi bhi Sharab noshi me hi
rahta tha jiski vajah se Hukumat ka mahol bigadne laga intezamat bigadne lage. Iss
Alam ko dekhte hue Mahel ke tamam vazeer aur uski Bahen Razia Sultan ne uske khilaf
Baghawat kar di.
Jiske
natije me 20 november 1236 ko ruknuddin Feroz mara gaya. Iske baad Razia Sultana
Dehli ke agle hukumran ke taur par Taqt nasheen hui.
Razia Sultana:
Mukammal History padhne ke liye visit kare>>> Click here
Moizzuddin Behram shah:
Moizzoddion
Behram Shah ye Shamsuddin Iltumish ka dusra beta aur Razia Sultana ka bhai tha.
Aap sab ne Razia Sultana ke Post me Moizoddin Bahram Badshah kaise bana ye to
padha hi hoga nahi padha to mai upper link diya hun uspr visit karke Zaroor
Padhen.
Moizoddin Behram
ne 15 october 1240 se 10 may 1242 tak takriban 1.5 saal tak hukumat ki iske baad
vo ek jung me mara gaya.
Alauddin Masud:
Mamluk
Sultanat ka 7wa sultan Alauddin Maasud tha jo Razia Sultana ka Bhatija aur
Ruknuddin Feroz ka Beta tha. Apne chacha ki wafat ke baad 10 may 1242 ko
Alauddin Masud ne Dehli Sultanat ka Iqtedar sambhala.
Alauddin
Masud ki umar kam hone ki vajah se uske pass zyada iqtewdar nahi the aur 3 saal
ke baad use taqt se hata diya gaya Nasiruddin Mahmud ko taqt par bithaya gaya.
Nasiruddin Mahmud:
Nasiruddin
Mahmud ye Mamluk Sultanat ka 8wa Badshah tha. Jo Badshah Shamsuddin Iltumish ka
Sabse chota beta tha. Iski paidaish 1228 me hui. 1145 me Alauddin Masud ko taqt
se hatane ke baad Nasiruddin Mahmud Taqt nasheen hua.
Nasiruddin
Mahmud ek Intehai Nek aur Ibadat Guzar shaks tha. Vo aksar apna waqt ibadat me laga
diya karta tha. Shamsuddin Iltumish ki tarah hi Nasiruddin Mahmud apni adal aur
insaf pasanda ke liye mashur tha.
Inhone 10
june 1245 se 18 febraury 1266 tak takriban 21 saal hukumat ki. Inke daure Hukumat
me Sultanat ki halat bahot sudhar gaye the. Har jagah Insaf pasandi se kam kiya
jane laga.
Inhone apna
nayab Giyasuddin Balbal ko banaya tha. Ghiyasuddin Balban hi tamam intezamate
Hukumat sambhala karte the.
18 febraury
1266 ko Nasiruddin Feroz ki wafat hui. Unka koi waris na hone ki vajah se unke
nayab Ghiyasoddin Balban ne hukumat ka iqtedar sambhala.
Ghiyasoddin Balban:
Gyisuddin
Balban ki Paidaish 1201 me hui uska paidaishi naam Bahoddin tha. Vo Khandane
Gulaman ke the. Bachpan me hi unhe Mongolon ne pakad liya tha, Pakad kr unhe
Afghanistan ke muqam ghazni laya gaya jaha unhe Suf Jamaloddin ne kharid liya.
Waha se unhe 1232 me delhi laya gaya.
jahan Unhen
aur unke tamam doston ko Badshah Iltumish ne kharid liya aur fir unki taleem
aur tarbiyat ka pura khayal karte hue unhe apne darbar me Shamil kar liya. Giyasoddin
Balban ye Mamluk Sultanat ke sultan aur Sultan Iltumish ka beta Nasiroddin
Mahmud ka vajir aala tha.
Sultan
Nasiroddin Ki wafat ke baad 1266 me bahoddin ne Gyasodin Balban ke laqab ke
sath taqt nasheen hogaye. Kyu ke Sultan Nasiroddin ka koi waris nahi tha. Sultan
ne taqt par bathte hi apne sultanat ke bhagdod sambhal li. Unhone ne kayi naye
khwaneen lane par apni raye rakhi.
Unke daure
Hukumat me Sharab par mukammil pabandi thi. Vo ek insaf pasand Badshah the jiski
vajah se Sultanat ki tamam Awam khushhal rahne lagi. Vo mujrimon ko aisi saza
diya karte ke koi agle dafa jurm karne ka khayal tak dil me na lata.
Ghiyasuddin
Balban 18 febraury 1266 se 13 january 1287 tak takriban 20 saal tak Dehli ke
Sultan ke taur par hukumat ki.
Moizuddin kiqbad:
Ghiyasoddin
Balban ki Wafat ke baad Unka pota Moizuddin Kiqbad 13 January 1287 ko Dehli
Sultanat ka 10wa Badshah bana. Uske walid Baghra Khan the jo Bengal ke Aazad Subhedar
the.
Ghiyasuddin
Balban ne pahle Baghra khan ko Badshah banne ka mauka diya. Lekin Baghra khan
ne inkar kar diya kyu ke vo pahle se hi Aazad Subhedar tha. Moizuddin Kiqbad ne
takriban 3saal tak Mamluk Sultanat ko sanbhale rakha.
Lekin 3saal
ke baad Moizoddin Kiqbad bimar rahne laga jiski vajah se uske khilaf Khiljiyon
ki baghawate hone lagi. 1 Febraury 1290 me Khiljiyon ne Moizoddin Kiqbad par
hamla kar diya. Jiske natije me Moizoddin Kiqbad shaheed hogaya.
Shamsuddin Kayumars:
Shamsuddin
Kayumars ye Moizuddin Kiqbad ka beta tha. Moizuddin Kiqbad ki wafat ke Waqt Shamsuddin
Kayumars ki umerc mahez 5 saal hi thi. 5saal ki umer me hi use Badshahi ka
iqtedar milgaya tha. Lekin Jalaloddin Feroz khilji ne Use ikhtedar se hata
diya.
Mamluk Sultanat ka Khatema:
Iss tarah
Dehli Sultanat par Hukumat karne wale pahle khandan Mamluk Sultanat ka khatema
hogaya.
Note: Agar hum se likhne me kuch glti hogayi ho to bray maherbani comment karke zaroor batayen hum glti sudharne ki puri koshish karenge. Shukriya!
Very informative post👍👍
ReplyDeleteNice 😍👍👌🏻👌🏻
ReplyDeleteNice 😍👍👌🏻👌🏻
ReplyDeleteNice
ReplyDelete����
ReplyDelete������
ReplyDeleteNice sirji
ReplyDelete♥️😍😍
ReplyDeletePost a Comment
If you have any doubt, please let me know